Yeh Safar Bahut Hai Kathin Magar Lyrics - 1942 A Love Story




Yeh Safar Bahut Hai Kathin Magar Lyrics from 1942 A Love Story: This is a very well sung song by Shivaji Chattopadhyay with nicely composed music by R. D. Burman. Lyrics of Yeh Safar Bahut Hai Kathin Magar are beautifully penned by Javed Akhtar.

Yeh Safar Bahut Hai Kathin Magar Lyrics

Dil na ummeed to nahi
Nakaam hi to hai
Lambi hai gham ki shaam
Magar shaam hi to hai

Yeh safar bahut hai kathin magar
Na udaas ho mere hamsafar
Yeh safar bahut hai kathin magar
Na udaas ho mere hamsafar
Na udaas ho mere hamsafar

Yeh sitam ki raat hai dhalne ko
Hai andhera gham ka pighalne ko
Yeh sitam ki raat hai dhalne ko
Hai andhera gham ka pighalne ko
Zara der is mein lage agar
Zara der is mein lage agar
Na udaas ho mere hamsafar

Yeh safar bahut hai kathin magar
Na udaas ho mere hamsafar

Nahi rehane wali ye mushkilein
Yeh hain agle mod pe manzilein
Nahi rehane wali ye mushkilein
Yeh hain agle mod pe manzilein
Meri baat ka tu yaken kar
Meri baat ka tu yaken kar
Na udaas ho mere hamsafar

Yeh safar bahut hai kathin magar
Na udaas ho mere hamsafar

Kabhi dhundh lega yeh kaarvan
Woh nayi zameen naya aasmaan
Kabhi dhundh lega yeh kaarvan
Woh nayi zameen naya aasmaan
Jise dhoondhati hai teri najar
Jise dhoondhati hai teri najar
Na udaas ho mere hamsafar

Yeh safar bahut hai kathin magar
Na udaas ho mere hamsafar
Na udaas ho mere hamsafar




Yeh Safar Bahut Hai Kathin Magar Song Detail


Song: Yeh Safar Bahut Hai Kathin Magar
Album: 1942 A Love Story (1993)
Singer: Shivaji Chattopadhyay
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Javed Akhtar