Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan Lyrics - Jaal


Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan Lyrics from Jaal is Hindi song sung by Hemant Kumar. Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its music is given by S D Burman. Jaal is a 1952 Hindi movie starring Dev Anand and Geeta Bali.

Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan Lyrics - Jaal

Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan Song Detail


Song: Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan
Album: Jaal (1952)
Singer: Hemant Kumar
Musician: S. D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Dev Anand, Geeta Bali etc.

Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kahan Lyrics

Yeh raat yeh chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan
Yeh raat yeh chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan

Aye pedon ki shakhon pe
Pedon ki shakhon pe
Soyi soyi chandni
Pedon ki shakhon pe
Tere khayalon mein
Khoyi khoyi chandni

Aur thodi der mein
Thak ke laut jayegi
Raat yeh bahaar ki
Phir kabhi na aayegi

Do ek pal aur hai yeh sama
Sun ja dil ki dastaan

Aye lehron ke hothon pe
Dheema dheema raag hai
Lehron ke hothon pe
Bheegi hawaon mein
Thandi thandi aag hai
Is haseen aag mein Tu bhi jal ke dekh le
Zindagi ke geet ki
Dhun badal ke dekh le

Khulne de ab dhadkanon ki Zuban
Sun ja dil ki dastaan

Hey jaati bahaarein hain
Jaati bahaarein hain uthti jawaniyan
Jaati bahaarein hain
Taaron ki chhaon mein
Keh le kahaniyan
Ek baar chal diye
Gar tujhe pukaar ke
Laut kar na aayenge
Kaafile bahaar ke

Ek baar chal diye
Gar tujhe pukaar ke
Laut kar na aayenge
Kaafile bahaar ke

Aaja abhi zindahi hai jawan
Sun ja dil ki dastaan

Yeh raat yeh chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan
Yeh raat yeh chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaan
Dastaan dastaan