Jinhe Naaz Hai Hind Par Lyrics - Pyaasa


Jinhe Naaz Hai Hind Par Lyrics from Pyaasa is Hindi song sung by Mohammad Rafi. Jinhe Naaz Hai Hind Par song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its music is given by S D Burman. Pyaasa is a 1957 Hindi movie starring Guru Dutt, Mala Sinha and Waheeda Rehman.

Jinhe Naaz Hai Hind Par Lyrics - Pyaasa

Jinhe Naaz Hai Hind Par Song Detail


Song: Jinhe Naaz Hai Hind Par
Album: Pyaasa (1957)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: S. D. Burman
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Guru Dutt, Mala Sinha, Waheeda Rehman etc.

Jinhe Naaz Hai Hind Par Lyrics

Yeh kooche hmm ghar dilkashi ke
Yeh kooche yeh neelaam ghar dilkashi ke
Yeh lut'te huye kaarwan zindagi ke
Kahan hain kahan hain muhafiz khudi ke
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain

Yeh pur pench galiyan yeh badnaam bazaar
Yeh gumnaam raahi yeh sikkon ki jhankaar
Yeh ismat ke saude yeh saudon pe takraar
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain

Kahan hain kahan hain kahan hain

Yeh sadiyon se bekhwaab sehmi si galiyan
Yeh masli huyi adhkhili zard kaliyan
Yeh bikti huyi khokhli rangraliyan
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain

Woh ujle dareechon mein
Paayal ki chhan chhan
Thaki haari saanson pe
Table ki dhan dhan
Woh ujle dareechon mein
Paayal ki chhan chhan Thaki haari saanson pe
Table ki dhan dhan
Yeh berooh kamron mein khansi ki than than
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain

Yeh phoolon ke gajre
Yeh peekon ke chheente
Yeh bebaak nazarein
Yeh gustakh fikare
Yeh phoolon ke gajre
Yeh peekon ke chheente
Yeh bebaak nazarein
Yeh gustakh fikare
Yeh dhalke badan aur yeh beemar chehre
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain

Yahan pir bhi aa chuke hain jawan bhi
Tan-o-mand bete bhi abba miyan bhi
Yeh biwi bhi hain
Yeh biwi bhi hain aur
Behan bhi hain maa hai
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain

Madad chaahti hai yeh hawwa ki beti
Yashoda ki humjins Radha ki beti
Madad chaahti hai yeh hawwa ki beti
Yashoda ki humjins Radha ki beti
Payambar ki ummat zuleh khan ki beti
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain

Zara mulk ke rehbaron ko bulao
Yeh kooche yeh galiyan yeh manzar dikhao
Jinhe naaz hai hind par unko lao
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain