Yaad Mein Teri Jaag-jaag Ke Hum Lyrics - Mere Mehboob
Yaad Mein Teri Jaag-jaag Ke Hum Lyrics of Mere Mehboob: Yaad Mein Teri Jaag-jaag Ke Hum is a beautiful hindi song from 1963 bollywood film Mere Mehboob. This song is composed by Naushad. Mohammad Rafi and Lata Mangeshkar has sung this song. Its lyrics are written by Shakeel Badayuni. Mere Mehboob is a 1963 Hindi movie starring Rajendra Kumar, Sadhana and Ameeta.
Yaad Mein Teri Jaag-jaag Ke Hum Lyrics
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Har ghadi dil mein teri ulfat ke
Dheeme dheeme chirag jalte hain
Jabse tune nigaah pheri hai
Din hai suna to raat andheri hai
Chand bhi ab nazar nahin aata
Ab sitare bhi kam nikalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Lut gayi woh bahaar ki mehfil
Chhut gayi humse pyaar ki manzil
Zindagi ki udaas raahon mein
Teri yaadon ke sath chalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Tujhko pa kar hamein bahaar mili
Tujhse chhut kar magar yeh baat khuli
Baagban bhi chaman ke phoolon ko
Apne pairon se khud masalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Kya kahein tujhse kyon hui doori
Hum samajhte hain apni majboori
Tujhko maaloom kya ke tere liye
Dil ke gham aansuon mein dhalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Har ghadi dil mein teri ulfat ke
Dheeme dheeme chirag jalte hain
Yaad Mein Teri Jaag-jaag Ke Hum Song Detail
Song: Yaad Mein Teri Jaag-jaag Ke Hum
Album: Mere Mehboob (1963)
Singer: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Musician: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Rajendra Kumar, Sadhana, Ameeta etc.
Recently Added Songs
- Kudi Main Hoon Kunwari Lyrics - Twinkle Khanna
- Halka Halka Dard Hai Lyrics - Akshay Kumar
- Chhukar Tere Mann Ko Lyrics - Akshay Kumar
- Tumhe Paa Ke Humne Jahan Paa Liya Hai Lyrics - Rajendra Kumar
- Main Jogiya Jogiya Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Jo Majnu The Woh Chale Gaye Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Aur Ek Gyarah Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Haseen Sham Ko Dil Mera Kho Gaya Lyrics - Mohammed Rafi
- Aapne Apna Banaya Meherbani Aapki Lyrics - Lata Mangeshkar
- Mujhe Kitna Pyar Hai Tumse Lyrics - Dil Tera Diwana