Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani Lyrics - Aaj




Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani Lyrics of Aaj (1987) is penned by Sudarshan Faakir, it's composed by Jagjit Singh and Chitra Singh and sung by Jagjit Singh and Chitra Singh.

Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani Lyrics

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
Bhale chheen lo mujhse meri jawaani
Magar mujhko lauta do bachpan ka saavan
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
Bhale chheen lo mujhse meri jawaani
Magar mujhko lauta do bachpan ka savan
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani

Mohalle ki sabse nishani purani
Woh budhiya jise bachche kehte the nani
Woh nani ki baaton mein pariyon ka dera
Woh chehre ki jhurriyon mein sadiyon ka phera
Bhulaye nahi bhool sakta hai koi
Woh chhoti si raatein woh lambi kahani
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani

Kadi dhoop mein apne ghar se nikalna
Woh chidiya, woh bulbul, woh titli pakadna
Woh gudiya ki shaadi pe ladna jhagadna
Woh jhoolon se girnaa, woh gir ke sambhalna
Woh peetal ke chhallon ke pyare se tohafe
Woh tooti hui choodiyon ki nishani
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani

Kabhi ret ke oonche teelon pe jaana
Gharaunde banana, bana ke mitana
Woh maasoom chahat ki tasveer apni
Woh khwaabon khilonon ki jageer apni
Na duniya ka gham tha, na rishton ke bandhan
Badi khoobsurat thi woh zindgani

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
Bhale chheen lo mujhse meri jawaani
Magar mujhko lauta do bachpan ka saavan
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani

Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani Song Detail


Song: Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani
Album: Aaj (1987)
Singer: Jagjit Singh, Chitra Singh
Musician: Jagjit Singh, Chitra Singh
Lyricist: Sudarshan Faakir