Waqt Karta Jo Wafa Aap Hamare Hote Lyrics - Dil Ne Pukara


Waqt Karta Jo Wafa Aap Hamare Hote Lyrics from Dil Ne Pukara is Hindi song sung by Mukesh. Waqt Karta Jo Wafa Aap Hamare Hote song lyrics are written by Indeep Bakshi, its music is given by Kalyanji Anandji. Dil Ne Pukara is a 1967 Hindi movie starring Shashi Kapoor, Rajshree and Sanjay Khan.

Waqt Karta Jo Wafa Aap Hamare Hote Lyrics - Dil Ne Pukara

Waqt Karta Jo Wafa Aap Hamare Hote Song Detail


Song: Waqt Karta Jo Wafa Aap Hamare Hote
Album: Dil Ne Pukara (1967)
Singer: Mukesh
Musician: Kalyanji Anandji
Lyricist: Indeep Bakshi
Star Cast: Shashi Kapoor, Rajshree, Sanjay Khan etc.

Waqt Karta Jo Wafa Aap Hamare Hote Lyrics

Waqt karta jo wafa
Waqt karta jo wafa aap hamare hote
Hum bhi auron ki tarah
Hum bhi auron ki tarah
Aap ko pyare hote
Waqt karta jo wafa

Apni taqdeer mein pehle hi se
Kuchh to gham hai
Apni taqdeer mein pehle hi se
Kuchh to gham hai

Aur kuchh aap ki fitrat mein
Wafa bhi kam hai
Warna jeeti huyi baazi
To na haare hote
Waqt karta jo wafa aap hamare hote
Waqt karta jo wafa

Hum bhi pyase hain yeh
Saaki ko bata bhi na sake
Hum bhi pyase hain yeh
Saaki ko bata bhi na sake

Saamne jaam tha
Aur jaam utha bhi na sake Kaash hum ghairate mehfil
Ke na maare hote
Waqt karta jo wafa aap hamare hote
Waqt karta jo wafa

Dum ghuta jaata hai seene mrin
Phir bhi zinda hain
Dum ghuta jaata hai seene mrin
Phir bhi zinda hain

Tumse kya hum to
Zindagi se bhi sharminda hain
Mar hi jaate na jo
Yaadon ke sahare hote

Waqt karta jo wafa aap hamare hote
Hum bhi auron ki tarah
Hum bhi auron ki tarah
Aap ko pyare hote
Waqt karta jo wafa