Upar Wale Teri Duniya Mein Lyrics - Haath Ki Safai


Upar Wale Teri Duniya Mein Lyrics from Haath Ki Safai is Hindi song sung by Mahendra Kapoor and music is given by Kalyanji Anandji. Upar Wale Teri Duniya Mein song lyrics are written by Gulshan Bawra. Haath Ki Safai is a 1974 Hindi movie starring Randhir Kapoor, Hema Malini and Vinod Khanna.

Upar Wale Teri Duniya Mein Lyrics - Haath Ki Safai

Upar Wale Teri Duniya Mein Song Detail


Song: Upar Wale Teri Duniya Mein
Album: Haath Ki Safai (1974)
Singer: Mahendra Kapoor
Musician: Kalyanji Anandji
Lyricist: Gulshan Bawra
Star Cast: Randhir Kapoor, Hema Malini, Vinod Khanna etc.

Upar Wale Teri Duniya Mein Lyrics

Upar wale teri duniya mein
Upar wale teri duniya mein
Kabhi jeb kisi ka na khali mile
Kabhi jeb kisi ka na khali mile

Koyi bhi gareeb na ho jag mein
Koyi bhi gareeb na ho jag mein
Har pocket mein hariyali mile
Har pocket mein hariyali mile

Upar wale teri duniya mein
Kabhi jeb kisi ka na khali mile

Hindu Muslim Sikh Isai
Sabki jebon mein paise hon
Sabki jebon mein paise hon
Apni nazron mein aye maalik
Sabke sab hi ek jaise hon
Sabke sab hi ek jaise hon
Kabhi haar gale ka mil jaaye
Kabhi kaanon ki humein baali mile

Upar wale teri duniya mein
Kabhi jeb kisi ka na khali mile
Koyi bhi gareeb na ho jag mein
Har pocket mein hariyali mile

Itni si daya karna data
Humein sada bachana vardi se
Humein sada bachana vardi se
Pala na pade kabhi apna
Kisi zalim ya bedardi se
Kisi zalim ya bedardi se
Kisi zalim ya bedardi se
Sab khush rahein sabke sath sath
Humko bhi sada khush-hali mile

Upar wale teri duniya mein
Kabhi jeb kisi ka na khali mile
Koyi bhi gareeb na ho jag mein
Har pocket mein hariyali mile

Upar wale sunle neeche walon ki pukar
Upar wale sunle neeche walon ki pukar
Arre jinko do deta hai
Maalik unko dena char
Arre jinko do deta hai
Maalik unko dena char
Aadha unse hum le lenge
Ho jaaye beda par
Aadha unse hum le lenge
Ho jaaye beda par

Arre waise to sab kuchh hai tera
Jag ke paalan haar bolo
Saare jag ke paalan haar
Saare jag ke paalan haar

Dekho yeh apna dhandha
Malik na karna manda
Dete rehna yoon chanda
Mile kabhi na kadka banda
Mile kabhi na kadka banda
Mile kabhi na kadka banda

Hum bhala sabhi ka chahein
Hain apni yehi duayein
Hain apni yehi duayein

Upar wale teri duniya mein
Kabhi jeb kisi ka na khali mile
Koyi bhi gareeb na ho jag mein
Har pocket mein hariyali mile