Ulfat Mein Zamane Ki Lyrics - Call Girl


Ulfat Mein Zamane Ki Lyrics from Call Girl: This is a very well sung song by Lata Mangeshkar and Kishore Kumar with nicely composed music by Sapan-Jagmohan. Lyrics of Ulfat Mein Zamane Ki are beautifully penned by Naqsh Lyallpuri. Call Girl is a 1974 Hindi movie starring Vikram, Zahira and Iftekhar.

Ulfat Mein Zamane Ki Lyrics - Call Girl

Ulfat Mein Zamane Ki Song Detail


Song: Ulfat Mein Zamane Ki
Album: Call Girl (1974)
Singer: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Musician: Sapan-Jagmohan
Lyricist: Naqsh Lyallpuri
Star Cast: Vikram, Zahira, Iftekhar etc.

Ulfat Mein Zamane Ki Lyrics

Kishore Kumar Version:
~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Phir saath mere aao..
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao

Kadmon ko na rokegi zanjeer rivazon ki
Hum tod ke niklenge deewar samaajon ki
Doori pe sahi manzil doori se na ghabrao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao

Main apni baharon ko rangeen bana loonga
Sau baar tumhein apni palkon pe utha loonga
Shabnam ki tarah mere gulshan mein bikhar jao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao

Aa jao ke jeene ke halaat badal daalein
Hum tum zamane ke din raat badal daalein
Tum meri wafaon ki ik baar kasam khao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Phir saath mere aao..
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao

Lata Mangeshkar Version: ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Phir saath mere aao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao

Duniya se bahut aage jis raah pe hum honge
Yeh soch lo pehle se har mod pe gham honge
Hai khauf ghamon se to ruk jao, thehar jao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Phir saath mere aao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao

Main tooti hui kashti khud paar laga loongi
Toofan ko maujon ko patvaar bana loongi
Majhdhar ka dar hai to sahil pe thehar jao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Phir saath mere aao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao

Dil aur kahin dekar tum chaaho badal daalo
Behtar to yehi hoga yeh raah badal daalo
Do char kadam chal kar mumkin hai behak jao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao
Phir saath mere aao
Ulfat mein zamane ki har rasm ko thukrao