Tumse Milkar Na Jaane Kyun Lyrics - Pyar Jhukta Nahin


Tumse Milkar Na Jaane Kyun Lyrics from Pyar Jhukta Nahin is Hindi song sung by Kavita Krishnamurthy. Tumse Milkar Na Jaane Kyun song lyrics are written by S H Bihari, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Pyar Jhukta Nahin is a 1985 Hindi movie starring Mithun Chakraborty, Padmini Kolhapure and Danny Denzongpa.

Tumse Milkar Na Jaane Kyun Lyrics - Pyar Jhukta Nahin

Tumse Milkar Na Jaane Kyun Song Detail


Song: Tumse Milkar Na Jaane Kyun
Album: Pyar Jhukta Nahin (1985)
Singer: Lata Mangeshkar, Shabbir Kumar, Kavita Krishnamurthy
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: S. H. Bihari
Star Cast: Mithun Chakraborty, Padmini Kolhapure, Danny Denzongpa etc.

Tumse Milkar Na Jaane Kyun Lyrics

Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun
Aur bhi kuchh yaad aata hai
Yaad aata hai

Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun
Aur bhi kuchh yaad aata hai
Yaad aata hai

Aaj ka apna pyar nahin hai
Aaj ka apna pyar nahin hai

Janmon ka yeh naata hai
Yeh naata hai
Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun

Ek tere bina is duniya ki
Har cheez adhoori lagti hai
Tum paas jo kitne paas magar
Nazdeeki bhi doori lagti hai

Pyar jinhein ho jaaye unhein
Kuchh aur nazar kab aata hai
Kab aata hai

Tumse milkar na jaane kyun Tumse milkar na jaane kyun
Aur bhi kuchh yaad aata hai
Yaad aata hai
Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun

Marke bhi kabhi jo khatm na ho
Yeh pyar ka woh afsana hai
Tum bhi jo hamare sath chalo
To humko wahan tak jaana hai

Woh jhoom ke apni dharti se
Aakash jahan mil jaata hai
Mil jaata hai

Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun
Aur bhi kuchh yaad aata hai
Yaad aata hai
Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun


~~~~~~~ Part 2 ~~~~~~~

Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun
Aur bhi kuchh yaad aata hai
Yaad aata hai
Aaj ka apna pyar nahin hai
Aaj ka apna pyar nahin hai
Janmon ka yeh naata hai
Yeh naata hai

Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun

Aye meri maa ek baar to badh ke
Pyar se apni baahon mein le le
Baahon mein le le
Barson yeh bachpan mamta ko tarsa
Aaj to teri goad mein khelein
Goad mein khelein
Kaise bataun pyar tera
Kitna mujhe tadpata hai tadpata hai

Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun

Maa oh maa
Main tere dil mein hoon ki nahin hoon
Tu to meri nas nas mein basi hai
Aansoo hain tere, mere hi aansoo
Teri hansi bhi, meri hansi hai
Main tere dil ka tukda hoon aye maa
Maa oh maa
Maa oh maa
Main tere dil ka tukda hoon aye maa
Jaan sake to jaan le mujhko
Tere hi baag ka phool hoon main
Pehchaan sake pehchan le mujhko
Pehchaan sake pehchan le mujhko
Maa oh maa
Tu aati hai jitna paas mere
Dil aur bhi khinchta jaata hai
Khinchta jaata hai

Tumse milkar na jaane kyun
Tumse milkar na jaane kyun
Aur bhi kuchh yaad aata hai
Yaad aata hai
Yaad aata hai yaad aata hai
Yaad aata hai yaad aata hai