Tumko Hum Dilbar Kyon Maane Lyrics - Tezaab


Tumko Hum Dilbar Kyon Maane Lyrics from Tezaab is Hindi song in the voices of Anuradha Paudwal, Sudesh Bhonsle. Tumko Hum Dilbar Kyon Maane song lyrics are written by Javed Akhtar, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Tezaab is a 1988 Hindi movie starring Anil Kapoor, Madhuri Dixit and Anupam Kher.

Tumko Hum Dilbar Kyon Maane Lyrics - Tezaab

Tumko Hum Dilbar Kyon Maane Song Detail


Song: Tumko Hum Dilbar Kyon Maane
Album: Tezaab (1988)
Singer: Anuradha Paudwal, Sudesh Bhonsle
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Javed Akhtar
Star Cast: Anil Kapoor, Madhuri Dixit, Anupam Kher etc.

Tumko Hum Dilbar Kyon Maane Lyrics

Ho tumko hum dilbar kyon maane
Tumko hum dilbar kyon maane
Ho kuchh karke dikhao to jaane
Kuchh karke dikhao to jaane

Ho maana ke tum ho thanedar
Darte hain dushman aur yaar
Arre dar dar ke main itna kahun
Chhodo darana baar baar

Isko daraya to kya kiya
Usko daraya to kya kiya

Isko daraya to kya kiya
Usko daraya to kya kiya

Re Phoolan Devi ko darao to jaane
Ho Phoolan Devi ko darao to jaane
Ho Phoolan Devi ko darao to jaane
Ho kuchh karke dikhao to jaane
Kuchh karke dikhao to jaane

Arre maana tumhare pyaar mein
Naache yeh tan naache yeh man
Jab naachne ko tum kaho
Naache zameen naache gagan

Isko nachaya to kya kiya Usko nachaya to kya kiya
Isko nachaya to kya kiya
Usko nachaya to kya kiya

Re Shri Devi ko nachao to jaane
Shri Devi ko nachao to jaane
Ho Shri Devi ko nachao to jaane
Tumko hum dilbar kyon maane
Tumko hum dilbar kyon maane
Kuchh karke dikhao to jaane
Ho kKuchh karke dikhao to jaane

Maana ki itni dhoom se
Jalsa karaya aapne
Duniya mein jo mash-hoor hai
Sabko bulaya aapne

Isko bulaya to kya kiya
Usko bulaya to kya kiya
Isko bulaya to kya kiya
Usko bulaya to kya kiya

Re Amitabh ko bulao to jaane
Ho Amitabh ko bulao to jaane
Amitabh ko bulao to jaane
Ho kuchh karke dikhao to jaane
Kuchh karke dikhao to jaane

Arre maana ki har aashiq tera
Jeeta hai aisi mauj se
Tera ishara paaye to
Lad jaaye poori fauj se

Isko ladaya to kya kiya
Usko ladaya to kya kiya
Isko ladaya to kya kiya
Usko ladaya to kya kiya

Re Dara Singh ko ladao to jaane
Dara Singh ko ladao to jaane
Dara Singh ko ladao to jaane
Kuchh karke dikhao to jaane
Ho kuchh karke dikhao to jaane
Tumko hum dilbar kyon maane
Tumko hum dilbar kyon maane

Ho Phoolan Devi ko darao to jaane
Shri Devi ko nachao to jaane
Ho Amitabh ko bulao to jaane
Dara Singh ko ladao to jaane

Kabhi milne aao to jaane
Kabhi humein bulao to jaane
Kabhi pyaar jatao to jaane
Kabhi gale lagao to jaane

Tumko hum dilbar kyon maane
Ho kuchh karke dikhao to jaane
Tumko hum dilbar kyon maane
Ho kuchh karke dikhao to jaane