TUMHEIN AUR KYA DOON MAIN DIL KE SIWA LYRICS - Ayee Milan Ki Bela
Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa Lyrics from Ayee Milan Ki Bela: This is a very well sung song by Lata Mangeshkar with nicely composed music by Shankar and Jaikishan. Lyrics of Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa are beautifully penned by Hasrat Jaipuri.

Musician : Shankar, Jaikishan
Lyricist : Hasrat Jaipuri
Tumhein Aur Kya Doon Main Dil Ke Siwa Lyrics
Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye
Muraadein hon poori, saje har tamanna
Mohabbat ki duniya ke tum chaand ban-na
Khushi mein hamaari bhi aavaz sun-na
Kabhi zindagi mein koi gham na aaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye
Mujhe jo khushi hai tumhein kya bataoon
Bhala dil ki dhadkan ko kaise chhipaoon
Kahin ho na jaaoon khushi se main paagal
Tumhein dekh kar aur bhi muskuraoon
Khuda diljalon ki nazar se bachaaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye
Sitaaron se ooncha ho rutba tumhara
Bano tum har ik zindagi ka sahara
Tumhein jis-se ulfat ho mil jaaye tumko
Samajh lo hamari dua ka ishara
Muqaddar tumhara sadaa jagmagaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye