Tum Paschim Ho Hum Purab Hain Lyrics - Navrang


Tum Paschim Ho Hum Purab Hain Lyrics from Navrang is Hindi song sung by C Ramchandra. Tum Paschim Ho Hum Purab Hain song lyrics are written by Bharat Vyas, its music is given by C Ramchandra. Navrang is a 1959 Hindi movie starring Mahipal, Sandhya and Agha.

Tum Paschim Ho Hum Purab Hain Lyrics - Navrang

Tum Paschim Ho Hum Purab Hain Song Detail


Song: Tum Paschim Ho Hum Purab Hain
Album: Navrang (1959)
Singer: C. Ramchandra
Musician: C. Ramchandra
Lyricist: Bharat Vyas
Star Cast: Mahipal, Sandhya, Agha etc.

Tum Paschim Ho Hum Purab Hain Lyrics

Tum paschim ho hum purab hain
Dono ka mel na milta hai
Ugta hai jo sooraj purab mein
Arre ugta hai jo sooraj purab mein

Woh paschim mein ja dhalta hai
Woh paschim mein ja dhalta hai
Woh paschim mein ja dhalta hai

Tum paschim ho hum purab hain
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai

Tum paschim ho hum purab hain
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai

Purab ki pawan mangalkaari
Mangal sandesh sunati hai
Paschim ki hawa mein hai zehar bhara
Jo ghar ghar aag lagati hai
Dharti dharti mein hai fark bada
Maati maati mein hai antar
Is maati mein janme sadhu
Is maati mein janme sadhu
Us dhool mein janme bikte hain Us dhool mein janme bikte hain
Us dhool mein janme bikte hain

Tum paschim ho hum purab hain
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai

Tum baandh rahe is duniya ko
Tum baandh rahe is duniya ko
Kanoonon ki zanjeeron se
Hum jod rahe dil se dil ko
Bas pyar ki chand lakeeron se

Duniya ki hukumat chaho tum
Topon se bamon se goli se
Humne to dilon pe hai raz kiya
Humne to dilon pe hai raj kiya
Apni geeta ki boli se
Apni geeta ki boli se
Apni geeta ki boli se

Tum paschim ho hum purab hain
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai

Tum dhoondh rahe ho
Tum dhoondh rahe ho
Naari ke nainon mein
Yuawan ka nartan
Tum dhoondh rahe ho
Naari ke nainon mein
Yuawan ka nartan

Hum dhoond rahe hain naari ke
Hriday mein mamta ka bachpan
Hum dhoond rahe hain naari ke
Hriday mein mamta ka bachpan

Tum jhoom rahe
Tum jhoom rahe madira pee ke
Ras lete ho maans ki boti mein
Hum pet bharein do roti mein
Hum pet bharein do roti mein
Aur khush hain ek langoti mein
Aur khush hain ek langoti mein
Aur khush hain ek langoti mein

Tum paschim ho hum purab hain
Dono ka mel na milta hai
Dono ka mel na milta hai

Tumme hum mein ik fark bada
Jo lakh milane se mil na sake
Purab ka Himalaya
Paschim ki aandhi ke
Thapedon se hil na sake
Aandhi ke thapedon se hil na sake

Paschim mein suraj
Kabhi ugg na sake aa
Purab mein suraj
Kabhi dhal na sake oo
Purab mein suraj
Kabhi dhal na sake

Tum jee na sako
Tum jee na sako
Hum mar na sakein
Vidhi ka yeh vidhan badal na sake
Ho tum bhakshak ho
Arre tum bhakshak ho
Hum rakshak hain
Yeh sang kabhi na phalta hai
Yeh sang kabhi na phalta hai
Yeh sang kabhi na phalta hai
Yeh sang kabhi na phalta hai

Tum paschim ho hum purab hain
Donon ka mel na milta hai
Donon ka mel na milta hai