Tum Besahara Ho To Kisi Ka Sahara Bano Lyrics - Anurodh


Tum Besahara Ho To Kisi Ka Sahara Bano Lyrics from Anurodh (1977) is penned by Anand Bakshi, it's composed by Laxmikant and Pyarelal and sung by Manna Dey. Anurodh is a 1977 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Simple Kapadia and Vinod Mehra.

Tum Besahara Ho To Kisi Ka Sahara Bano Lyrics - Anurodh

Tum Besahara Ho To Kisi Ka Sahara Bano Song Detail


Song: Tum Besahara Ho To Kisi Ka Sahara Bano
Album: Anurodh (1977)
Singer: Manna Dey
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Simple Kapadia, Vinod Mehra etc.

Tum Besahara Ho To Kisi Ka Sahara Bano Lyrics

Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tumko apne aap hi sahara mil jaayega
Kashti koyi doobti pahuncha do kinare pe
Tumko apne aap hi kinara mil jaayega
Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tum besahara ho to

Hans kar zinda rehna padta hai
Apna duhkh khud sehna padta hai
Rasta chaahe kitna lamba ho

Dariya ko to behna padta hai
Ho tum ho ek akele to
Ruk mat jao chal niklo
Raste mein koi sathi tumhara mil jaayega
Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tum besahara ho to

Jeevan to ek jaisa hota hai
Koi hansta koi rota hai
Sabra se jeena asaan hota hai
Fikra se jeena mushkil hota hai
Fikra se jeena mushkil hota hai
Ho thode phool hain, kaante hain Jo taqdeer ne baante hain
Humko inmein se hissa hamara mil jaayega
Tum besahara ho to kisi ka sahara bano
Tum besahara ho to