Teri Mehfil Mein Kismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhenge Lyrics - Mughal-e-Azam


Teri Mehfil Mein Kismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhenge Lyrics from Mughal-e-Azam (1960): This is a lovely song from Mughal-e-azam starring Dilip Kumar, Madhubala, Murad and Nigar Sultana. It is sung by Lata Mangeshkar and Shamshad Begum and composed by Naushad. Mughal-e-Azam is a 1960 Hindi movie starring Dilip Kumar, Madhubala and Murad.

Teri Mehfil Mein Kismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhenge Lyrics - Mughal-e-Azam

Teri Mehfil Mein Kismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhenge Song Detail


Song: Teri Mehfil Mein Kismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhenge
Album: Mughal-e-Azam (1960)
Singer: Lata Mangeshkar, Shamshad Begum
Musician: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Dilip Kumar, Madhubala, Murad etc.

Teri Mehfil Mein Kismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhenge Lyrics

Teri mehfil mein kismat aazma kar hum bhi dekhenge
Ghadi bhar ko tere nazdeek aakar hum bhi dekhenge
Ghadi bhar ko tere nazdeek aakar hum bhi dekhenge
Aji haan hum bhi dekhenge

Teri mehfil mein kismat aazma kar hum bhi dekhenge
Tere kadmon pe sar apna jhuka kar hum bhi dekhenge
Tere kadmon pe sar apna jhuka kar hum bhi dekhenge
Aji haan hum bhi dekhenge

Baharein aaj paigam-e-mohabbat leke aayi hain
Badi muddat mein ummeedon ki kaliyan muskurai hain

Badi muddat mein aji haan
Badi muddat mein ummeedon ki kaliyan muskurai hain
Gham-e-dil se zara daaman bachakar hum bhi dekhenge
Gham-e-dil se zara daaman bachakar hum bhi dekhenge
Aji haan hum bhi dekhenge

Agar dil gham se khaali ho to jeene ka maza kya hai
Na ho khoon-e-jigar to ashq peene ka maza kya hai
Na ho khoon-e-jigar haan haan
Na ho khoon-e-jigar to ashq peene ka maza kya hai
Mohabbat mein zara aansoo bahakar hum bhi dekhenge
Mohabbat mein zara aansoo bahakar hum bhi dekhenge
Teri mehfil mein kismat aazma kar hum bhi dekhenge Aji haan hum bhi dekhenge

Mohabbat karne waalon ka hai bas itna hi afsana
Tadpna chupke chupke aah bharna ghut ke mar jana
Tadpna chupke jee haan
Tadpna chupke chupke aah bharna ghut ke mar jana
Kisi din yeh tamasha muskura kar hum bhi dekhenge
Kisi din yeh tamasha muskura kar hum bhi dekhenge
Teri mehfil mein kismat aazma kar hum bhi dekhenge
Aji haan hum bhi dekhenge

Mohabbat humne mana zindagi barbaad karti hai
Yeh kya kam hai ke mar jaane pe duniya yaad karti hai
Yeh kya kam hai aji haan haan
Yeh kya kam hai ke mar jaane pe duniya yaad karti hai
Kisi ke ishq mein duniya lutakar hum bhi dekhenge
Kisi ke ishq mein duniya lutakar haan haan haan
Tere kadmon pe sar apna jhukakar
Ghadi bhar ko tere nazdeek aakar
Teri mehfil mein kismat aazma kar hum bhi dekhenge
Aji haan hum bhi dekhenge
Aji haan hum bhi dekhenge