Shirdi Wale Sai Baba Lyrics - Amar Akbar Anthony


Read & sing along Shirdi Wale Sai Baba Lyrics from the movie Amar Akbar Anthony - 1977 which is sung by Mohammad Rafi. You can also get other songs & lyrics from Amar Akbar Anthony. Amar Akbar Anthony is a 1977 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Vinod Khanna and Rishi Kapoor.

Shirdi Wale Sai Baba Lyrics - Amar Akbar Anthony

Shirdi Wale Sai Baba Song Detail


Song: Shirdi Wale Sai Baba
Album: Amar Akbar Anthony (1977)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Amitabh Bachchan, Vinod Khanna, Rishi Kapoor etc.

Shirdi Wale Sai Baba Lyrics

Zamane mein kahan tooti hui tasveer banti hai
Tere darbar main bigdi hui takdeer banti hai

Tareef teri nikli hai dil se
Aayi hai lab pe ban ke qawwali
Shirdi wale Sai baba aaya hai tere dar pe sawali
Shirdi wale Sai baba aaya hai tere dar pe sawali
Lab pe duayein, aakhon main aansu
Dil main ummeedein par jholi khaali
Shirdi wale Sai baba aaya hai tere dar pe sawali
Dar pe sawali, aaya hai tere dar pe sawali

Sawali baba,,
Shirdi wale Sai baba aaya hai tere dar pe sawali

O mere Sai deva, tere sab naam lewa
O mere Sai deva, tere sab naam lewa
Juda insan saare sabhi tujhko hain pyare
Sune fariyad sabki, tujhe hai yaad sabki
Bada ya koi chhota, nahi mayus lauta
Amiron ka sahara, garibon ka ghuzara
Teri rehmat ka kissa bayan Akbar kare kya
Do din ki duniya, duniya hai gulshan
Sab phool kaante tu sab ka mali hey
Shirdi wale Sai baba aaya hai tere dar pe sawali

Khuda ki shaan tujhme, dikhein bhagwan tujhme
Khuda ki shaan tujhme, dikhein bhagwan tujhme
Tujhe sab maante hain, tera ghar jaante hain
Chale aate hain daude jo khush kismat hain thode
Yeh har raahi ki manzil, yeh har qashti ka saahil
Jise sab ne nikala, use toone sambhala
Jise sab ne nikala, use toone sambhala
Tu bichhdon ki milaaye, bujhe deepak jalaaye
Tu bichhdon ki milaaye, bujhe deepak jalaaye
Tu bichhdon ki milaaye, bujhe deepak jalaaye
Yeh gham ki raatein, raatein yeh kaali
Inko bana de Eid aur Diwaali

Shirdi wale Sai baba aaya hai tere dar pe sawali
Lab pe duayein, aakhon main aansu
Dil main ummeedein par jholi khaali
Shirdi wale Sai baba aaya hai tere dar pe sawali

Shirdi wale.. Sai baba..
Shirdi wale Sai baba aaya hai tere dar pe sawali