SHEHAR KI PARIYON KE PEECHE LYRICS - Jo Jeeta Wohi Sikandar
Shehar Ki Pariyon Ke Peeche Lyrics from the movie Jo Jeeta Wohi Sikandar is sung by Sadhana Sargam and Udit Narayan, its music is composed by Jatin and Lalit and lyrics are written by Majrooh Sultanpuri.

Musician : Jatin, Lalit
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Shehar Ki Pariyon Ke Peeche Lyrics
Shehar ki pariyon ke peeche
Jo hain deewane hey hey
Shehar ki pariyon ke peeche
Jo hain deewane hey hey
Woh hamari sadagi ka rang kya jaanein
Arre haan! aaha aaha dildar bewafa
Jo nahi samjhe ke hum hain
Kiske deewane hey hey
Arre haan! aaha aaha samjho na meri jaan
Koyi hoga hasin, kam to hum bhi nahi
Dekho zara nazar bhar ke
Itna udo nahi, ho na aisa kahin
Na idhar ke raho na udhar ke
Koyi hoga hasin, kam to hum bhi nahi
Dekho zara nazar bhar ke
Itna udo nahi, ho na aisa kahin
Na idhar ke raho na udhar ke
Shehar ki pariyon ke peeche
Jo hain deewane hey hey
Woh hamari sadagi ka rang kya jaanein
Arre haan! aaha aaha dildar bewafa
Aaja, na na
Aaja meri baahon mein, tu jaana nahi re
Na na
Aaja meri baahon mein, tu jaana nahi re
Na na
Yahan to bade bade, lut gaye khade khade
Bach ke woh bhi kahan jaayenge
Sun ke meri sada, chhod ke naaz-o-ada
Kachche dhage mein bandh aayenge
Yahan to bade bade, lut gaye khade khade
Bach ke woh bhi kahan jaayenge
Sun ke meri sada, chhod ke naaz-o-ada
Kachche dhage mein bandh aayenge
Jo nahi samjhe ke hum hain
Kiske deewane hey hey
Woh hamari aashiqi ka rang kya jaanein
Arre haan! aaha aaha samjho na meri jaan
Shehar ki pariyon ke peeche
Jo hain deewane hey hey
Woh hamari sadagi ka rang kya jaanein
Arre haan! aaha aaha dildar bewafa
Aaha aaha samjho na meri jaan
Aaha aaha dildar bewafa
Aaha aaha samjho na meri jaan