Sharam Aati Hai Magar Lyrics - Padosan


Sharam Aati Hai Magar Lyrics from Padosan is Hindi song sung by Lata Mangeshkar. Sharam Aati Hai Magar song lyrics are written by Rajendra Krishan, its music is given by R D Burman. Padosan is a 1968 Hindi movie starring Sunil Dutt, Saira Banu and Mehmood.

Sharam Aati Hai Magar Lyrics - Padosan

Sharam Aati Hai Magar Song Detail


Song: Sharam Aati Hai Magar
Album: Padosan (1968)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Rajendra Krishan
Star Cast: Sunil Dutt, Saira Banu, Mehmood etc.

Sharam Aati Hai Magar Lyrics

Sharam aati hai magar
Aaj yeh kahna hoga
Sharam aati hai magar
Aaj yeh kahna hoga
Ab hamein aapke
Kadmon hi mein rahna hoga
Sharam aati hai magar

Aapse rooth ke hum
Jitna jiye khaak jiye
Aapse rooth ke hum

Jitna jiye khaak jiye
Kayi ilzaam liye aur
Kayi ilzaam diye

Aaj ke baad magar
Kuchh bhi na kehna hoga
Ab hamein aapke
Kadmon hi mein rahna hoga
Sharam aati hai magar

Der ke baad yeh samjhe hain
Mohabbat kya hai
Ab humein chaand ke
Jhoomar ki zarurat kya hai Pyar se badh ke bhala
Kaun sa gehna hoga

Ab hamein aapke
Kadmon hi mein rahna hoga
Sharam aati hai magar
Aaj yeh kehna hoga

Aapke pyar ka
Beemar hamara dil hai
Aapke pyar ka
Beemar hamara dil hai
Aapke gham ka khareedar
Hamara dil hai
Aapko apna koyi
Dard na sehna hoga

Ab hamein aapke
Kadmon hi mein rahna hoga
Sharam aati hai magar
Aaj yeh kehna hoga

Sharam aati hai