Shab-e-Gham Subah Ho Gayi Rote Rote Lyrics - Bedardi




Shab-e-Gham Subah Ho Gayi Rote Rote Lyrics from the movie Bedardi is sung by Shamshad Begum, its music is composed by Roshan and lyrics are written by B R Sharma. Bedardi is a 1951 Hindi movie starring Jasant, Geeta Bali and Nimmi.

Shab-e-Gham Subah Ho Gayi Rote Rote Lyrics

Shab-e-gham subah ho gayi rote rote
Kati raat lekin kati rote rote
Shab-e-gham subah ho gayi rote rote
Kati raat lekin kati rote rote

Khayal aa gaya apni kismat ka jis dam
Kismat ka jis dam
Khayal aa gaya apni kismat ka jis dam
Kismat ka jis dam
To dil ko hansi aa gayi rote rote
Kati raat lekin kati rote rote


Mohabbat ko andha kiya aansuon ne
Kiya aansuon ne
Mohabbat ko andha kiya aansuon ne
Kiya aansuon ne
Ki jaati rahi roshni rote rote
Kati raat lekin kati rote rote

Shama ki tarah apne dil ki lagi bhi
Dil ki lagi bhi
Shama ki tarah apne dil ki lagi bhi
Dil ki lagi bhi
Lagi hanste hanste bujhi rote rote
Kati raat lekin kati rote rote Shab-e-gham subah ho gayi rote rote
Kati raat lekin kati rote rote




Shab-e-Gham Subah Ho Gayi Rote Rote Song Detail


Song: Shab-e-Gham Subah Ho Gayi Rote Rote
Album: Bedardi (1951)
Singer: Shamshad Begum
Musician: Roshan
Lyricist: B. R. Sharma
Star Cast: Jasant, Geeta Bali, Nimmi etc.


More Lyrics From Bedardi
Dil Ne To Diya Dhoka - Bedardi
Dil Ne To Diya Dhoka