Sar Jhuka Nazar Utha Lyrics - Gautam Govinda


Sar Jhuka Nazar Utha Lyrics from Gautam Govinda is Hindi song in the voices of Lata Mangeshkar, Manna Dey. Sar Jhuka Nazar Utha song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Gautam Govinda is a 1979 Hindi movie starring Shashi Kapoor, Shatrughan Sinha and Moushumi Chatterjee.

Sar Jhuka Nazar Utha Lyrics - Gautam Govinda

Sar Jhuka Nazar Utha Song Detail


Song: Sar Jhuka Nazar Utha
Album: Gautam Govinda (1979)
Singer: Lata Mangeshkar, Manna Dey
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Shashi Kapoor, Shatrughan Sinha, Moushumi Chatterjee etc.

Sar Jhuka Nazar Utha Lyrics

Sar jhuka nazar utha
Beadab salaam kar
Sar jhuka nazar utha

Badshahe ishq se
Ba-adab kalaam kar
Sar jhuka nazar utha
Beadab salaam kar
Sar jhuka nazar utha

Tu agarche haseen kaatil hai
Hum khafa ho gaye to mushkil hai

Yeh nazar uth gayi to kya hoga
Mere aashiq ka sir jhuka hoga
Yeh nazar uth gayi to kya hoga
Mere aashiq ka sir jhuka hoga
Yeh nazar uth gayi to kya hoga

Mohabbat aap ka shahib
Gerehban chaak kar degi
Shama apne deewane ko
Jala kar raakh kar degi
Aapse humko jo shikayat hai
Aapko humse woh gila hoga

Yeh nazar uth gayi to kya hoga Mere aashiq ka sir jhuka hoga
Yeh nazar uth gayi to kya hoga

Yeh dard yeh zindagi ka gham
Humein nahi teri kasam
Chahe qatle aam kar
Sar jhuka nazar utha
Beadab salaam kar
Sar jhuka nazar utha

Tu hai magroor bekhabar hai tu
Uspe gustakh is kadar hai tu
Tu hai magroor bekhabar hai tu
Uspe gustakh is kadar hai tu

Baat karti hai aasmaano se
Aur baithi hai zameen par hai tu
Tu hai magroor bekhabar hai tu
Uspe gustakh is kadar hai tu

Ajeez jaan hai agar
To samne se tu guzar
Apne dil ko thaam kar
Malika e shabab ka
Kuchh to ehtaraam kar
Malika e shabab ka
Kuchh to ehtaraam kar

Aree fikar apni chhod
Mera zikra subah o shaam kar
Sar jhuka nazar utha
Beadab salaam kar
Sar jhuka nazar utha

Hath daaman se chhoot jaate hain
Husn wale bhi rooth jaate hain
Hath daaman se chhoot jaate hain
Husn wale bhi rooth jaate hain
Hath daaman se chhoot jaate hain

Zamana phoonk sakta hai
Yeh ek shola jawani ka
Tumhara ishq kya hai
Sirf ik katra hai paani ka

Ek aisi nigaah padti hai
Dil hazaron ke toot jaate hian
Hath daaman se chhoot jaate hain
Husn wale bhi rooth jaate hain
Hath daaman se chhoot jaate hain

Bade adab ki cheez hai
Magar tu ik kaneez hai
Jo hukm hai woh kaam kar
Sar jhuka nazar utha
Beadab salaam kar
Sar jhuka nazar utha