Sabne Desh Ka Naam Liya Lyrics - Rajput


Sabne Desh Ka Naam Liya Lyrics from Rajput is Hindi song in the voices of Hemlata, Mahendra Kapoor, Manhar Udhas. Sabne Desh Ka Naam Liya song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Rajput is a 1982 Hindi movie starring Dharmendra, Rajesh Khanna and Vinod Khanna.

Sabne Desh Ka Naam Liya Lyrics - Rajput

Sabne Desh Ka Naam Liya Song Detail


Song: Sabne Desh Ka Naam Liya
Album: Rajput (1982)
Singer: Hemlata, Mahendra Kapoor, Manhar Udhas
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Dharmendra, Rajesh Khanna, Vinod Khanna etc.

Sabne Desh Ka Naam Liya Lyrics

Sabne desh ka naam liya
Sabne desh ka naam liya
Arre humne dil ko thaam liya
Humne dil ko thaam liya
Sabne Hindustan kaha
Sabne Hindustan kaha
Aur humne apni jaan kaha
Wah wah wah wah wah wah

Apni jaan se apni jaan
Apni jaan se apni jaan

Bacha ke humein kya karna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai

Apni jaan se apni jaan
Bacha ke humein kya karna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai

Tu hai mast akele mein Aha main bhi hoon is mele mein
Aha tu hai mast akele mein
Aha main bhi hoon is mele mein

Dil ko yaad hai tu hi tu
Desh ke baad hai tu hi tu
Oho ho dil ko yaad hai tu hi tu
Desh ke baad hai tu hi tu

Bandh ke sehra tere hi
Kadmon mein yeh sar dharna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai

Yahin pe humko pyaar mila
Yahin pe humko pyaar mila
Yahin humein sansar mila
Yahin humein sansar mila
Yahin pe humko pyaar mila

Yahin hamari galiyan hain
Yahin pe sab rangraliyan hain
Yahin hamari galiyan hain
Yahin pe sab rangraliyan hain

Isi dagar pe pyaas hamari
Isi dagar pe jharna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai

Sawan gaya gayi holi
Hum kab milenge humjoli
Ho sawan gaya gayi holi
Jeevan hai sangram abhi
Pyaar ka na le naam abhi
Jeevan hai sangram abhi
Pyaar ka na le naam abhi
Teri maang mein oh gori
Sindoor lahu se bharna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai

Kaanton se talwar bana
Kaanton se talwar bana
Phoolon ke mat haar bana
Phoolon ke mat haar bana
Kaanton se talwar bana

Ho tu jab yuddh par jayega
Jeet ke jab tu aayega
Tu jab yuddh par jayega
Jeet ke jab tu aayega
Yeh phoolon ke haar pehan
Gali se tujhe ghuzarna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai

Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai
Yahin pe humko jeena hai
Yahin pe humko marna hai