Sabki Baratein Aayi Doli Tu Bhi Lana Lyrics - Jaanam Samjha Karo


Sabki Baratein Aayi Doli Tu Bhi Lana song belongs to the Andalib Majrooh Sultanpuri's film Jaanam Samjha Karo starring Salman Khan, Urmila Matondkar, Monica Bedi and Shakti Kapoor. Sabki Baratein Aayi Doli Tu Bhi Lana Lyrics are penned by Majrooh Sultanpuri while this track is sung by Alka Yagnik and Jaspindar Narula. Jaanam Samjha Karo is a 1999 Hindi movie starring Salman Khan, Urmila Matondkar and Monica Bedi.

Sabki Baratein Aayi Doli Tu Bhi Lana Lyrics - Jaanam Samjha Karo

Sabki Baratein Aayi Doli Tu Bhi Lana Song Detail


Song: Sabki Baratein Aayi Doli Tu Bhi Lana
Album: Jaanam Samjha Karo (1999)
Singer: Alka Yagnik, Jaspindar Narula
Musician: Anu Malik
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Star Cast: Salman Khan, Urmila Matondkar, Monica Bedi etc.

Sabki Baratein Aayi Doli Tu Bhi Lana Lyrics

Part 1: [by jaspinder narula]

Ho Ranjhe majiyaan charaiyaan
Ranjhe majiyaan charaiyaan
Doli le gaye ne kede
Ve lag gaye nain avede
O lag gaye nain avede
Ve lag gaye nain avede

Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ii le jana

Sabki baratein aayin..

Chaha tha maine socha tha maine
Kya kya the armaan dil-e-nadaan ke
Aankhon mein aansu aaye
Ho.. aankhon mein aansu aaye par koi na aaya
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulana
Sabki baratein aayin...

In aankhon mein thi ik raat saji
Haathon mein kabhi choodi si baji
Par aankh khuli to aaya nazar
Na raat saji na choodi baji
Mera toota tha dil uski jhankar thi Sara woh rang tha mere khoon-e-dil ka
Yeh to hai rona dil ka
Haan.. yeh to hai rona dil ka kaahe ka tarana
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ii le jana
Sabki baratein aayin...

Chalo jo bhi hua woh khoob hua
Ab har koi mehboob hua
Hai sabke liye yeh raat meri
Ab to hai yehi aukaat meri
Hans ke bheegi palak chamkaana hai
Sooni baahein adaa se lehrana hai
Gam kha ke aansu pee ke
Ho.. gam kha ke aansu pee ke mehfil mein gana
Ab to kisi ko bhi apna ke hai bulana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ii le jana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ii le jana
Sabki baratein aayin...

Aa...

Part 2: [by alka yagnik]

Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ii le jana
Sabki baratein aayin...

Baandh ke sehra humse mil ke
Niklenge saare armaan dil ke
Aankhon mein taare naachein
Haaye.. aankhon mein taare naachein
Ghunghata yun uthana
Phir humko haule haule baahon mein chhupana
Sabki baratein aayi...

Apnon se juda main hoti hui
Kuchh hansti hui kuchh roti hui
Jab chhodungi baabul ki gali
Tumhare angna aaoongi chali
Jab tan-man se teri banoongi
Gori bahiyan meri dharna haule se
Mehandi waale haathon ki
Haaye.. mehandi waale haathon ki choodi khankana
Phir haule haule mujhko baahon mein chhupana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ii le jana
Sabki baratein aayin...

Aa..

Phir bindiya ki sab chaandaniyan
Aur payal ki sab raaginiyan
Tere ghar aangan mein luta degi
Dulhe raja teri dulhaniya
Pehle tum khelna mere rang roop se
Phir chun daalna ang ang ki kaliyaan
Kore tan ke phoolon se
Haaye.. kore tan ke phoolon se sejiya sajana
Phir haule haule humko baahon mein chhupana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ii le jana
Sabki baratein aayi doli tu bhi lana
Dulhan bana ke humko raja ii le jana
Sabki baratein aayin...