Rubdoot Lyrics - Toonpur Ka Superhero




Rubdoot Lyrics of Toonpur Ka Superhero: Rubdoot is a beautiful hindi song from 2010 bollywood film Toonpur Ka Superhero. This song is composed by Anu Malik. Altaf Raja, Ajay Devgan, Sudesh Bhosle and Sonu Nigam has sung this song. Its lyrics are written by Mumzy Stranger. Toonpur Ka Superhero is a 2010 Hindi movie starring Ajay Devgn, Kajol and Raza Murad.

Rubdoot Lyrics

Hari rail laal rail se hai mazboot
Hari rail laal rail se aa rubdoot
Hari rail laal rail se hai mazboot
Hari rail laal rail se aa rubdoot

Kis cartoon ne mujhe jagaya
Kis joker ka waqt hai aaya
Sasur mera yamdoot
Naam mera rubdoot
Lakeeron se bane faqeero! kiya paat agar lakeeron ko
Ragarr ke rakh doonga main tum chalti phirti tasveeron ko


Yaqeen hai ya sapna
Chamatkaar ya chakma
Main aankhain badal ke aaon
Ya pehen ke aaon chashma
Arre yeh to mera super hero
Sab se tagra, sab se dhaansu
Khushi ke maare rona hai mujhe
Kahan hain mere khushi ke aansu

Mera tan karne lagi pasliyaan
Dekh ke apna super star
Battees daant lage naachne
Hone lag gaya chaand naya


Mera hero aagay, mujh ko milne aagay
Mere dil pe cha gaya, woh woh woh woh
Parda phaar ke aaya hai
Tv torr ke nikla hai
Ya kisi coster se chori chori phisla hai
Jese marzi aaya hai
Aagaya bas aagaya
Mere dil pe chaa gaya woh woh woh woh

Yeh nazar battu hai bollywood mein lattu
Japta hai mera naam, lagta hai bagla jee ne kaha

Tum mere sacche sacche fan ho rubdoot
Is baat ka tumhare paas kya hai saboot?
Hmmm? saboot?

Saboot hi saboot hai, kya bataeyn jee hum
Bataeyn door se hi tumko dil de chuke sanam
Jab kya romance ya villon se haatha paai
Sab se zyada seetiyaan maine bajaai
Har saal maine tera birthday manaaya
Har film ke hit hote hi yeh geet gaaya

Mera hero chaa gaya, sab ke dil pe chaa gaya
Mera hero aagaya, woh woh woh woh

Je khuli ke main, tum ho mere super fan
Super fan ka mila award
O my god, o my god
Ab khila to makkhan
Phir dhoondte hain mil ke dhakkan
Meri choro, ab tum bollywood ki koi baat sunao
Acche actor lagte ho, kuch acting wacting kar ke dikhao
Ayyy pehle yeh batao, tumhare naam mein kitne k hain
Kkkkiran... hmmm?
Maine kaha jee suniye
Zara autograph to dijiye... isssh
Yaar tum to bollywood ke bhi baap ho
Jitne marzi chaho utne autograph lo
Autograph le jaeyga yeh phopat
Saare ka saara plan hojaey ga chopat
Autograph to chaahe le lo aik hazaar
Gar main bhi kuch maangun to kya de pao ge yaar?
Jaan maango, jaan haazir
Dhaan maango, dhaan haazir
Toonpur mein jitna bhi hai
Woh saara saman haazir
Mangta hoon aik choti si cheez
Toon astra de do na please
Toon astra...
Maang rahe ho toon-astar
Hil gaya hai tumhare dimaagh ka pilastar
Toon astra
Arre choro yeh notanki
Baat karo koi dhang ki
Toon-astar pakrao
Best friend ban jao

Best friend ka offer de kar tumne barhaya mera maan
Tumhari is offer ke ooper sau sau toon-astar qurban
Toon-astar to tumne le liya, per aik baat yaad rakhna
Tum isey sirf aik baar istemaal kar sakte ho
Kyaa... itne saare toonasur aur sirf aik baar
China ka maal hai kya?
Actually woh kya hai ke is ko charge karna parta hai
Aur is ka charger main khud hoon
Oh... chalo...
Ab mera autograph
De doonga rubdoot jee
Pehle aap ki is rubber waali pencil ka trial to hojaey
Aditiya, main ja raha hun
Upar waaly, main aaraha hun

Yaari tu to nibha gaya
Mere dil par chaa gaya
Mera hero ban gaya
Mujh ko fan ban gaya

Mera hero aagay, mujh ko milne aagay
Mere dil pe cha gaya, woh woh woh woh
Mera hero aagay, mujh ko milne aagay
Mere dil pe cha gaya, woh woh woh woh
Woh woh woh woh

Rubdoot Song Detail


Song: Rubdoot
Album: Toonpur Ka Superhero (2010)
Singer: Altaf Raja, Ajay Devgan, Sudesh Bhosle, Sonu Nigam
Musician: Anu Malik
Lyricist: Mumzy Stranger
Star Cast: Ajay Devgn, Kajol, Raza Murad etc.