Phool Ahista Phenko Lyrics - Prem Kahani


Phool Ahista Phenko Lyrics from Prem Kahani is Hindi song sung by Lata Mangeshkar, Mukesh and music is given by Laxmikant Pyarelal. Phool Ahista Phenko song lyrics are written by Anand Bakshi. Prem Kahani is a 1975 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Mumtaz and Shashi Kapoor.

Phool Ahista Phenko Lyrics - Prem Kahani

Phool Ahista Phenko Song Detail


Song: Phool Ahista Phenko
Album: Prem Kahani (1975)
Singer: Lata Mangeshkar, Mukesh
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Mumtaz, Shashi Kapoor etc.

Phool Ahista Phenko Lyrics

Kaha aapka yeh baja hi sahi
Ke hum bekadar bewafa hi sahi
Bade shauk se jaiye yeh chhod kar
Magar sehne gulshan se yoon tod kar

Phool ahista phenko
Phool ahista phenko
Phool bade nazuk hote hain
Phool ahista phenko
Phool bade naazuk hote hain

Waise bhi to yeh badh kismat

Nok pe kaanton ki sote hain
Phool ahista
Haan ahista phenko
Phool bade nazuk hote hain
Phool ahista phenko

Badi khoobsurat shikayat hai yeh
Badi khoobsurat shikayat hai yeh
Magar sochiye kya sharafat hai yeh
Jo auron ka dil todte rehte hain
Lage chot unko to yeh kehte hain
To yeh kehte hain

Ke phool ahista ahista phenko Phool bade nazuk hote hain
Jo rulate hain logon ko
Ek din khud bhi rote hain
Phool ahista phenko
Phool bade nazuk hote hain

Kisi shokh ko baag ki sair mein
Kisi shokh ko baag ki sair mein
Jo lag jaaye kaanta koi pair mein
Khafa husn phoolon se ho kis liye
Yeh masoom hain bekhata is liye
Bekhata is liye

Phool ahista ahista phenko
Phool bade nazuk hote hain
Yeh karenge kaise ghayal
Yeh to khud ghayal hote hain
Phool ahista phenko

Gulon ke bade aap humdard hain
Gulon ke bade aap humdard hain
Bhala kyon na ho aap bhi mard hain
Hazaron sawalon ka hai ek jawab
Fareb-e-nazar yeh na ho aye janab
Yeh na ho aye janab

Phool ahista ahista phenko
Phool bade nazuk hote hain
Sab jise kehte hain shabnam
Phool ke aansu hote hain
Phool ahista phenko
Phool bade nazuk hote hain
Phool ahista phenko