Patthar Se Sheesha Takra Ke Lyrics - Sawan Ko Aane Do


Patthar Se Sheesha Takra Ke Lyrics from the movie Sawan Ko Aane Do is sung by Anand Kumar C, its music is composed by Rajkamal and lyrics are written by Fauq Jaami. Sawan Ko Aane Do is a 1979 Hindi movie starring Arun Govil, Zarina Wahab and Reeta Bhaduri.

Patthar Se Sheesha Takra Ke Lyrics - Sawan Ko Aane Do

Patthar Se Sheesha Takra Ke Song Detail


Song: Patthar Se Sheesha Takra Ke
Album: Sawan Ko Aane Do (1979)
Singer: Anand Kumar C
Musician: Rajkamal
Lyricist: Fauq Jaami
Star Cast: Arun Govil, Zarina Wahab, Reeta Bhaduri etc.

Patthar Se Sheesha Takra Ke Lyrics

Waqt ke saanche mein apni zindagi ko dhaal kar
Muskurao maut ki aankhon me aankhein daal kar

Patthar se sheesha takra ke
Patthar se sheesha takra ke
Woh kehte hain dil toote na
Us dhan ki keemat kuchh bhi nahi
Jis dhan ko lutera loote na
Patthar se sheesha takra ke

Nazron ka ishara dhokha tha
Baaton ka sahara dhokha tha

Baaton ka sahara dhokha tha
Ab gham mein dil doobe lekin
Ab gham mein dil doobe lekin
Majhdhaar se naata toote na
Patthar se sheesha takra ke

Do aankhon ke takraane se
Afsane bante hain lekin
Afsane bante hain lekin
Kuchh aise fasane hain jinka
Kuchh aise fasane hain jinka
Kaanton se daaman chhoote na
Patthar se sheesha takra ke

Bekarari karar ho jaaye
Jo khiza hai bahaar ho jaaye
Isko kehte hain pyar ka sagar
Isko kehte hain pyar ka sagar
Daobne wala paar ho jaaye
Daobne wala paar ho jaaye

Toofan mein chalte rehna hai
Sholon mein jalte rehna hai
Toofan mein chalte rehna hai
Sholon mein jalte rehna hai
Woh manzil kya jis manzil mein
Woh manzil kya jis manzil mein
Pairon ke chhaale phootein na
Patthar se sheesha takra ke
Woh kehte hain dil toote na
Patthar se sheesha takra ke
Woh kehte hain dil toote