Pandit Ji Mere Marne Ke Baad Lyrics - Roti Kapda Aur Makaan
Pandit Ji Mere Marne Ke Baad Lyrics from Roti Kapda Aur Makaan is Hindi song sung by Lata Mangeshkar and music is given by Laxmikant Pyarelal. Pandit Ji Mere Marne Ke Baad song lyrics are written by Verma Malik. Roti Kapda Aur Makaan is a 1974 musical, social Hindi movie starring Manoj Kumar, Zeenat Aman, Shashi Kapoor, Moushmi Chatterjee and Amitabh Bachchan. It is produced and directed by Manoj Kumar. Lyrics of Pandit Ji Mere Marne Ke Baad song is given below.

Pandit Ji Mere Marne Ke Baad Song Detail
Song: Pandit Ji Mere Marne Ke Baad
Album: Roti Kapda Aur Makaan (1974)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Verma Malik
Star Cast: Manoj Kumar, Zeenat Aman, Shashi Kapoor, Moushmi Chatterjee, Amitabh Bachchan etc.
Director: Manoj Kumar
Pandit Ji Mere Marne Ke Baad Lyrics
Na dharam bura na karam bura
Na Ganga buri na jal bura
Na dharam bura na karam bura
Na Ganga buri na jal bura
Har peene walo ko pandit ji
Na karna kabhi naseehat
Peene wala marte marte
Bas karta yahi vaseeyat
Oh pandit ji mere marne ke baad
Pandit ji mere marne ke baad
Pandit ji mere marne ke baad
Bas itna kasht utha lena
Mere munh mein Ganga jal ki jagah
Mere munh mein Ganga jal ki jagah
Thodi madira tapka dena
Pandit ji mere marne ke baad
Bas itna kasht utha lena
Mere munh mein Ganga jal ki jagah
Thodi madira tapka dena
Pandit ji mere marne ke baad
Pandit ji
Sadiyon purane maikhane se
Thodi mitti mangwa lena
Sadiyon purane maikhane se
Thodi mitti mangwa lena
Us mitti ko samajh ke chandan
Us mitti ko samajh ke chandan mere
Maathe tilak laga dena
Pandit ji mere marne ke baad
Pandit ji marne ke baad
Maut pe meri oh peena wale
Maut pe meri oh peena wale
Aankh jo teri bhar aaye
Maut pe meri oh peena wale
Aankh jo teri bhar aaye
Pee jaana tu aankh ke aansu
Pee jaana tu aankh ke aansu
Par kuchh jaam baha dena
Pandit ji mere marne ke baad
Pandit ji mere marne ke baad
Safar aakiri lamba hai
Safar aakiri lamba hai
Koyi sath mein sathi to chahiye
Safar aakiri lamba hai
Koyi sath mein sathi to chahiye
Jhoom ke pahunchun jannat tak main
Jhoom ke pahunchun jannat tak
Ik botal sath tika dena
Pandit ji mere marne ke baad
Pandit ji mere marne ke baad
Bas itna kasht utha lena
Mere munh mein Ganga jal ki jagah
Thodi madira tapka dena
Pandit ji mere marne ke baad
Pandit ji marne ke baad