Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Lyrics - Lal Quila


Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon song belongs to the Nanabhai Bhatt's film Lal Quila starring P Jairaj, Helen, BM Vyas, Ramayan Tiwari and M Kumar. Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Lyrics are penned by Bahadur Shah Zafar while this track is sung by Mohammad Rafi. Lal Quila is a 1960 Hindi movie starring P. Jairaj, Helen and B.M. Vyas.

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Lyrics - Lal Quila

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Song Detail


Song: Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Album: Lal Quila (1960)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: S. N. Tripathi
Lyricist: Bahadur Shah Zafar
Star Cast: P. Jairaj, Helen, B.M. Vyas etc.

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Lyrics

Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musht-e-gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Na to main kisi ka habeeb hoon
Na to main kisi ka raqeeb hoon
Jo bigad gaya woh naseeb hoon
Jo ujad gaya woh dayaar hoon

Na kisi ki aankh ka noor hoon

Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar mujhse bichhad gaya
Jo chaman fiza mein ujad gaya
Main usi ki fasl-e-bahaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Pai fatiha koyi aaye kyon
Koyi chaar phool chadhaye kyon
Koyi aake shamma jalaye kyon
Main woh beqasi ka majaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musht-e-gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon

Main kahan rahoon, main kahan basoon
Na yeh mujhse khush, na woh mujhse khush
Main jameen ki peeth ka bojh hoon
Main falak ke dil ka gubaar hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon