Mubarak Ho Sabko Sama Ye Suhana Lyrics - Milan


Mubarak Ho Sabko Sama Ye Suhana Lyrics from Milan is Hindi song sung by Mukesh and music is given by Laxmikant Pyarelal. Mubarak Ho Sabko Sama Ye Suhana song lyrics are written by Anand Bakshi. Milan is a 1967 Hindi movie starring Sunil Dutt, Nutan and Pran.

Mubarak Ho Sabko Sama Ye Suhana Lyrics - Milan

Mubarak Ho Sabko Sama Ye Suhana Song Detail


Song: Mubarak Ho Sabko Sama Ye Suhana
Album: Milan (1967)
Singer: Mukesh
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Sunil Dutt, Nutan, Pran etc.

Mubarak Ho Sabko Sama Ye Suhana Lyrics

Mubarak ho sabko sama ye suhana
Main khush hoon mere aasuon pe na jaana
Main to deewana deewana deewana
Main to deewana deewana deewana

Mubarak ho sabko sama ye suhana
Main khush hoon mere aasuon pe na jaana
Main to deewana deewana deewana
Main to deewana deewana deewana

Hazaron tarah ke ye hote hain aansu
Hazaron tarah ke ye hote hain aansu

Agar dil mein gham ho to rote hain aansu
Khushi mein bhi aankhein
Khushi mein bhi aankhein
Bhigote hain aansu

Inhein jaan sakta nahi ye zamana
Main khush hoon mere aasuon pe na jaana
Main to deewana deewana deewana
Main to deewana deewana deewana

Ye shehnaiyan de rahi hain duhayi
Ye shehnaiyan de rahi hain duhayi
Koyi cheez apni huyi hai parayi
Kisi se milan hai Kisi se milan hai kisi se judayi

Naye rishton ne toda nata purana
Main khush hoon mere aasuon pe na jaana
Main to deewana deewana deewana
Main to deewana deewana deewana

Ye bole samay ki nadi ka bahaav
Ye bole samay ki nadi ka bahaav
Ye baabul ki galiyan ye maajhi ki naav
Chali ho to gori
Chali ho to gori suno bhool jao

Na phir yaad karna na phir yaad aana
Main khush hoon mere aasuon pe na jaana
Main to deewana deewana deewana
Main to deewana deewana deewana

Mubarak ho sabko sama ye suhana
Main khush hoon mere aasuon pe na jaana
Main to deewana deewana deewana
Main to deewana deewana deewana