Meri Jaan Balle Balle Lyrics - Kashmir Ki Kali


Meri Jaan Balle Balle Lyrics from Kashmir Ki Kali (1964) is penned by S H Bihari, it's composed by O P Nayyar and sung by Mohammad Rafi and Asha Bhosle. Kashmir Ki Kali is a 1964 Hindi movie starring Shammi Kapoor, Sharmila Tagore and Pran.

Meri Jaan Balle Balle Lyrics - Kashmir Ki Kali

Meri Jaan Balle Balle Song Detail


Song: Meri Jaan Balle Balle
Album: Kashmir Ki Kali (1964)
Singer: Mohammad Rafi, Asha Bhosle
Musician: O. P. Nayyar
Lyricist: S. H. Bihari
Star Cast: Shammi Kapoor, Sharmila Tagore, Pran etc.

Meri Jaan Balle Balle Lyrics

Haaye re haaye yeh mere haath mein tera hath
Naye jazbaat meri jaan balle balle
Oye oye hoye oye oye oye
Haaye re haaye yehi jazbaat rahein din raat
To phir kya baat meri jaan balle balle
Oye oye hoye oye oye oye

Jab se dil mein teri tasveer bani hai
Yoon lagta hai jaise taqdeer bani hai
Jab se tu is dil ka mehmaan hua hai
Jeevan mein kushiyon ka saman hua hai

Jitni door nazar main daaloon
Chaaron or bahaar hai
Haaye re haaye yehi jazbaat rahein din raat
To phir kya baat meri jaan balle balle
Oye oye hoye oye oye oye

Tere ghar shehnayi jis raat bajegi
Teri meri jodi kya khoob sajegi
Poore honge dil ke armaan hamare
Aanchal mein bhar lenge hum chaand sitare
Tere aage chaand sitare o gori kya cheez hai?
Haaye re haaye yehi jazbaat rahein din raat
To phir kya baat meri jaan balle balle Oye oye hoye oye oye oye

Teri soorat pyaari arre jo bhi dekhe
Sach kehta hoon apna imaan hi kho de
Teri aankhon mein bhi arre woh jaadu hai
Jab se aankh mili hai dil bekaabu hai
Khud ko kho kar tujhko paya
Kya meri taqdeer hai
Haaye re haaye yehi jazbaat rahein din raat
To phir kya baat meri jaan balle balle
Oye oye hoye oye oye oye

Haaye re haaye yeh mere haath mein tera hath
Naye jazbaat meri jaan balle balle
Oye oye hoye oye oye oye
Haaye re haaye yehi jazbaat rahein din raat
To phir kya baat meri jaan balle balle