Mere Samne Wali Khidki Mein Lyrics - Padosan
Mere Samne Wali Khidki Mein Lyrics from Padosan is Hindi song sung by Kishore Kumar. Mere Samne Wali Khidki Mein song lyrics are written by Rajendra Krishan, its music is given by R D Burman. Padosan is a 1968 Hindi movie starring Sunil Dutt, Saira Banu and Mehmood.

Mere Samne Wali Khidki Mein Song Detail
Song: Mere Samne Wali Khidki Mein
Album: Padosan (1968)
Singer: Kishore Kumar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Rajendra Krishan
Star Cast: Sunil Dutt, Saira Banu, Mehmood etc.
Mere Samne Wali Khidki Mein Lyrics
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos yeh hai ke woh humse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Jis roz se dekha hai usko
Hum shama jalana bhool gaye
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pehar in aankhon mein
Woh chanchal mukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Par uski ek jhalak ko hum
Aye husan ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat yeh dukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos yeh hai ke woh humse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai