Mera Mahi Bada Sona Hai Lyrics - Dhaai Akshar Prem Ke


Mera Mahi Bada Sona Hai Lyrics from Dhaai Akshar Prem Ke is Hindi song in the voices of Abhishek Bachchan, Anuradha Paudwal. Mera Mahi Bada Sona Hai song lyrics are written by Sameer, its music is given by Jatin Lalit. Dhaai Akshar Prem Ke is a 2000 Hindi movie starring Abhishek Bachchan, Aishwarya Rai and Amrish Puri.

Mera Mahi Bada Sona Hai Lyrics - Dhaai Akshar Prem Ke

Mera Mahi Bada Sona Hai Song Detail


Song: Mera Mahi Bada Sona Hai
Album: Dhaai Akshar Prem Ke (2000)
Singer: Abhishek Bachchan, Anuradha Paudwal
Musician: Jatin Lalit
Lyricist: Sameer
Star Cast: Abhishek Bachchan, Aishwarya Rai, Amrish Puri etc.

Mera Mahi Bada Sona Hai Lyrics

Mera mahi bada sona hai
Aaja aaja ve mahi aaja
Sone pe dil khona hai
Aaja aaja ve channa aaja

Mera mahi bada sona hai
Sone pe dil khona hai
Mera mahi bada sona hai
Sone pe dil khona hai

Mere yaar sa dildaar sa
Na koyi hona hai

Mera mahi bada sona hai
Sone pe dil khona hai

Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna ve
Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna

Haathon ki choodi khanka de
Mehandi ka rang khila de
Bindiya meri chamka de
Barson ki pyaas bujha de Mera ang ang mehka de

Haathon ki choodi khanka de
Manmeet ke mujhe preet ke
Sapno ko sajana hai

Mera mahi bada sona hai
Sone pe dil khona hai
Mere yaar sa dildaar sa
Na koyi hona hai
Mera mahi bada sona hai
Sone pe dil khona hai

Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna ve
Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna

Jogi kaisa rog laga
Peed sahi na jaaye re
Jogan ban main bhayi banwri
Jog bada tadpayi re
Aas lagaye naina bichhaye
Taras rahe hain raahon mein

Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna ve
Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna

Doori sahi na ab jaaye
Pal pal judaayi tadpaye
Tanhayi dard badhaye
Tan man mein aag lagaye
Koyi jaake usko samjhaye

Doori sahi na ab jaaye
Ab to mujhe mehboob ke
Hothon ko bhigona hai

Mera mahi bada sona hai
Sone pe dil khona hai
Mere yaar sa dildaar sa
Na koyi hona hai
Mera mahi bada sona hai
Sone pe dil khona hai

Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna ve
Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna

Haan mera dil keh raha hai
Main sar se leke paanv tak
Tere sandli badan pe mohabbat likh doon
Mera dil keh raha hai
Main tere surkh larazte hothon ki laali pe
Apne labon ki shabnami shararat likh doon
Haan mera dil keh raha hai
Teri pajeb ki jhankar pe
Tere paaon ke chandan haar pe
Apni bechainiyon ki yeh haalat likh doon
Mera dil keh raha hai
Tere uljhe gesu sawarun
In aankhon ke aaine mein
Tera dulhan sa roop niharun
Is mehakti zameen ki sej pe
Apne armanon ki chaht likh doon
Mohabbat likh doon mohabbat

Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna ve
Aaja aaja ve mahi
Aaja aaja ve channa
Aaja aaja ve sajna