Mehngai Maar Gayi Lyrics - Roti Kapda Aur Makaan


Mehngai Maar Gayi Lyrics from Roti Kapda Aur Makaan is Hindi song sung by Lata Mangeshkar, Mukesh, Chanchal, Jani Babu Qawwal and music is given by Laxmikant and Pyarelal. Mehngai Maar Gayi song lyrics are written by Varma Malik. Roti Kapda Aur Makaan is a 1974 Hindi movie starring Manoj Kumar, Zeenat Aman and Shashi Kapoor.

Mehngai Maar Gayi Lyrics - Roti Kapda Aur Makaan

Mehngai Maar Gayi Song Detail


Song: Mehngai Maar Gayi
Album: Roti Kapda Aur Makaan (1974)
Singer: Lata Mangeshkar, Mukesh, Chanchal, Jani Babu Qawwal
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Varma Malik
Star Cast: Manoj Kumar, Zeenat Aman, Shashi Kapoor etc.

Mehngai Maar Gayi Lyrics

Usne kaha tu kaun hai
Maine kaha ulfat teri
Usne kaha tu kaun hai
Maine kaha ulfat teri
Usne kaha takta hai kya
Maine kaha soorat teri
Usne kaha chahta hai kya
Usne kaha chahta hai kya
Maine kaha chahat teri
Maine kaha samjha nahin

Usne kaha kismat teri
Ek hamein aankh ki ladaai maar gayi
Doosri yeh yaar ki judaai maar gayi
Teesri hamesha ki tanhaai maar gayi
Chauthi yeh khuda ki khudai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi

Ek hamein aankh ki ladaai maar gayi
Doosari yeh yaar ki judaai maar gayi
Teesri hamesha ki tanhaai maar gayi Chauthi yeh khuda ki khudai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi

Tabiyat theek thi aur dil
Tabiyat theek thi haan
Tabiyat theek thi
Tabiyat theek thi haan haan
Tabiyat theek thi aur dil bhi
Aaha dil bhi aji dil bhi bekarar na tha
Ho tabiyat theek thi aur dil bhi bekarar na tha
Yeh tab ki baat hai haan haan baat hai
Yeh tab ki yeh tab ki haan haan
Tabiyat theek thi aur dil bhi bekarar na tha
Yeh tab ki baat hai jab kisi se pyaar na tha
Jab se preet sapnon mein samaai maar gayi
Man ke meethe dard ki gehraai maar gayi
Nainon se yeh nainon ki sagaai maar gayi
Soch soch mein jo soch aayi maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi

Kaise waqt mein haye haye kaise waqt mein
Kaise waqt mein haaye kaise waqt mein
Aa ke dil ko dil ki lagi bimaari
Kaise waqt mein
Kaise waqt mein aa ke dil ko dil ki lagi bimaari
Mehngai ke daur mein ho gayi
Mehngi yaar ki yaari
Kaise waqt mein
Dil ki lagi dil ko jab lagaai maar gayi
Dil ne di jo pyaar ki duhaai maar gayi
Dil ki baat duniya ko bataai maar gayi
Aur dil ki baat dil mein jo chhupai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi

Pehle mutthi vich paise lekar
Pehle mutthi mein paise lekar
Thaila bhar shakkar laate the
Ab thaile mein paise jaate hain
Mutthi mein shakkar aati hai
Haaye mehngai mehngai mehngai
Duhaai hai duhaai hai duhaai hai duhaai
Tu kahan se aayi tujhe kyon maut na aayi
Haaye mehngai mehngai mehngai
Shakkar mein yeh aate ki milaai maar gayi
Powder waale doodh di malaai maar gayi
Raashan waali lain ki lambaai maar gayi
Janta jo cheekhi chillaai maar gayi
Baaki kuchh bachche ya mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi

Gareeb ko to bachche ki padhaai maar gayi
Padhaai maar gayi
Beti ki shaadi aur sagaayi maar gayi
Sagaayi maar gayi
Kisi ko to roti ki kamaai maar gayi
Kapde ki kisi ko silaai maar gayi
Kisi ko to roti ki kamaai maar gayi
Kapde ki kisi ko silaai maar gayi
Ho kisi ko makaan ki banwaai maar gayi

Jeevan de bas teen nishan
Roti kapda aur makaan
Roti kapda aur makaan
Roti kapda aur makaan
Dhoondh dhoondh ke har insaan
Dhoondh dhoondh ke har insaan
Kho baitha hai apni jaan
Jo sach sach bola to sachchaai maar gayi
Sachchaai maar gayi
Sachchaai maar gayi
Aur baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Mehngai maar gayi
Aur baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi
Baaki kuchh bacha to mehngai maar gayi