Maut Kitni Bhi Sangdil Ho Magar Lyrics - Aaj Aur Kal




Maut Kitni Bhi Sangdil Ho Magar song belongs to the Vasant Joglekar's film Aaj Aur Kal starring Sunil Dutt, Nanda, Ashok Kumar and Raaj Kumar. Maut Kitni Bhi Sangdil Ho Magar Lyrics are penned by Sahir Ludhianvi while this track is sung by Asha Bhosle. Aaj Aur Kal is a 1963 Hindi movie starring Sunil Dutt, Nanda and Ashok Kumar.

Maut Kitni Bhi Sangdil Ho Magar Lyrics

Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi
Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi

Nit naye ranj dil ko deti hai
Zindagi har kushi ki dushman hai
Maut sabse nibaah karti hai
Zindagi, zindagi ki dushman hai
Kuchh na kuchh to sakoon paayega
Maut ke bas mein jiski jaan hogi
Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi

Rang aur nasl naam aur daulat
Zindagi kitne farq maanti hai
Maut had-bandiyon se oonchi hai
Saari duniya ko ek jaanti hai
Jin usoolon pe mar rahe hain hum
Un usoolon ki kadardan hogi
Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi

Maut se aur kuchh mile na mile
Zindagi se to jaan chhootegi
Muskurahat naseeb ho ke na ho
Ansuon ki ladi to tootegi
Hum na honge to gham kise hoga
Khatm har gham ki daastan hogi
Maut kitni bhi sangdil ho magar
Zindagi se to meharban hogi

Maut Kitni Bhi Sangdil Ho Magar Song Detail


Song: Maut Kitni Bhi Sangdil Ho Magar
Album: Aaj Aur Kal (1963)
Singer: Asha Bhosle
Musician: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Sunil Dutt, Nanda, Ashok Kumar etc.