Main To Beghar Hoon Lyrics - Suhaag


Main To Beghar Hoon Lyrics from Suhaag (1979) is penned by Anand Bakshi, it's composed by Laxmikant and Pyarelal and sung by Asha Bhosle. Suhaag is a 1979 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Rekha and Shashi Kapoor.

Main To Beghar Hoon Lyrics - Suhaag

Main To Beghar Hoon Song Detail


Song: Main To Beghar Hoon
Album: Suhaag (1979)
Singer: Asha Bhosle
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Amitabh Bachchan, Rekha, Shashi Kapoor etc.

Main To Beghar Hoon Lyrics

Kya tumko sunaaun
Main apna fasana haaye
Kya tumko sunaaun main apna fasana
Na koi mera ghar hai, na koi thikana
Phir!
Main to beghar hoon apne ghar le chalo
Ghar mein ho mushkil to daftar le chalo
Main to beghar hoon apne ghar le chalo
Ghar mein ho mushkil to daftar le chalo

Daftar mein chhutti ho to

Mat hona gham se bojhal
Daftar mein chhutti ho to
Mat hona gham se bojhal
Ruk jaana raste mein jab bhi
Aaye koi hotel

Hotel! Kya?
Tumhara dimag kharab to nahi ho gaya?
Hotel nahi ho to picture le chalo
Main to beghar hoon apne ghar le chalo
Ghar mein ho mushkil to daftar le chalo
Main to beghar hoon la la la la

Picture mein badnami ho to Baitho motor car mein
Picture mein badnami ho to
Baitho motor car mein
Sair karenege sadkon pe
Jaise do premi pyar mein

Arre re re kya kar rahi ho?
Log dekhenge to kya kahenge?
Tum mujhse kar lo shaadi aur mandir le chalo
Main to beghar hoon apne ghar le chalo
Ghar mein ho mushkil to daftar le chalo
Main to beghar hoon la la la la

Aisa lagta hai shayad mera thikana aa gaya
Aisa lagta hai ke mera thikana aa gaya
Na ghar aaya, na daftar aaya
Yeh to hostel aa gaya
Aye! aye aye aei
Raste mein na chhodo ji ghar mein le chalo
Main to beghar hoon apne ghar le chalo
Ghar mein ho mushkil to daftar le chalo
Main to beghar hoon apne ghar le chalo
Ghar mein ho mushkil to daftar le chalo
La la la la