Main Bairagi Nachoon Gaoon Lyrics - Bairaag
Main Bairagi Nachoon Gaoon Lyrics from Bairaag (1976) is penned by Anand Bakshi, it's composed by Kalyanji and Anandji and sung by Mohammad Rafi and Lata Mangeshkar. Bairaag is a 1976 Hindi movie starring Dilip Kumar, Saira Banu, Helen, Prem Chopra and Leena Chandavarkar. It is produced by Mushir Riaz, M Riaz and directed by Asit Sen. Lyrics of Main Bairagi Nachoon Gaoon song is given below.

Main Bairagi Nachoon Gaoon Song Detail
Song: Main Bairagi Nachoon Gaoon
Album: Bairaag (1976)
Singer: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Musician: Kalyanji, Anandji
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Dilip Kumar, Saira Banu, Helen, Prem Chopra, Leena Chandavarkar etc.
Director: Asit Sen
Main Bairagi Nachoon Gaoon Lyrics
Arre suno re suno ek baat sunaaun
Oye suno re suno ek baat sunaaun
Jhooth hai ya sach hai yeh tum jaano
Arre jhooth hai ya sach hai yeh tum jaano
Main bairagi, main bairagi nachoon gaoon
Main bairagi nachoon gaoon
Arre suno re suno ek baat sunaaun
Arre suno re suno ek baat sunaaun
Jhooth hai ya sach hai yeh tum jaano
Jhooth hai ya sach hai yeh tum jaano
Main bairagan, main bairagan nachoon gaoon
Main bairagan nachoon gaoon
O dekho in bedardon ko
Chhod ke laaj ke pardon ko
Dekho hum bedardon ko
Chhod ke laaj ke pardon ko
Gali-gali mein aurtein chhedti
Phirti hain hum mardon ko
Aapne sach faramaya hai
Sachcha shor machaya hai
Aapne sach faramaya hai
Sachcha shor machaya hai
Mardon ke din beet gaye
Aurat ka zamana aaya hai
Aurat ka zamana aaya hai
Main na maanu, tum na maano
Main kya jaanun, tum kya jaano
Main to sabka dil behlaoon
Main bairagi, main bairagi nachoon gaoon
Main bairagi nachoon gaoon
Ho likhne wala likhta hai
Ik aisa chashma bikta hai
Likhne wala likhta hai
Ik aisa chashma bikta hai
Jis chashme ke andar se bhai
Andhon ko bhi dikhta hai
Andhon ko bhi dikhta hai
Jag mein aise bande hain
Bandon ke aise dhandhe hain
Jag mein aise bande hain
Bandon ke aise dhandhe hain
Kya karna hai dekh ke jag ko
Achchhe hain jo andhe hain
Tu anjana, tu anjani
Tu deewana, tu deewani
Deewane ko kya samjhaaun
Main bairagan, main bairagan nachoon gaoon
Main bairagan nachoon gaoon
Ho raat ko jab din dhalta hai
Prem ka jaadu chalta hai
Raat ko jab din dhalta hai
Prem ka jaadu chalta hai
Tu bairagi kya jaane
Kaahe ko patanga jalta hai
Kaahe ko patanga jalta hai
Keh do is panihaari se
Poochh le duniya saari se
Keh do is panihaari se
Poochh le duniya saari se
Jale patanga lekin khelein
Bairagi chingari se
Khel ke dekho, chhed ke dekho
Chhed ke dekha, kKhel ke dekha
Main jo boloon kar dikhlaaun
Main bairagi, main bairagi nachoon gaoon
Main bairagi nachoon gaoon
Main bairagan nachoon gaoon
Main bairagan nachoon gaoon