Main Aaya Hoon Jahan Se Lyrics - Chhote Sarkar


Main Aaya Hoon Jahan Se Lyrics from Chhote Sarkar is Hindi song sung by Bali Brahmbhatt and music is given by Anand Milind. Main Aaya Hoon Jahan Se song lyrics are written by Rani Malik. Chhote Sarkar is a 1996 Hindi movie starring Govinda, Shilpa Shetty and Aruna Irani.

Main Aaya Hoon Jahan Se Lyrics - Chhote Sarkar

Main Aaya Hoon Jahan Se Song Detail


Song: Main Aaya Hoon Jahan Se
Album: Chhote Sarkar (1996)
Singer: Bali Brahmbhatt
Musician: Anand Milind
Lyricist: Rani Malik
Star Cast: Govinda, Shilpa Shetty, Aruna Irani etc.

Main Aaya Hoon Jahan Se Lyrics

Agar yaaron ki zid hai to
Abhi sab kuchh batata hoon
Main kitna khandaani hoon
Jhalak jhalak iski dikhta hoon

Main aaya hoon jahan se
Woh bada uncha gharana hai
Yeh aaye hain jahan se
Woh bada uncha gharana hai
Main aaya hoon jahan se
Woh bada uncha gharana hai

Yeh aaye hain jahan se
Woh bada uncha gharana hai

Aji aabaad mujhse hi to
Yeh paagalkhana hai
Aji aabaad inse hi to
Yeh paagalkhana hai

Main aaya hoon main aaya
Ma ma main aaya hoon jahan se
Woh bada uncha gharana hai
Yeh aaye hain jahan se
Woh bada uncha gharana hai

Mere dada Agre ke mashhoor daku the Nana se sab dharte the
Woh itne ladaku the
Daddy ke banaye note
Duniya bhar mein chalte hain
Aunty ke isharon par
Sau sau kothe palte hain
Sau sau kothe palte hain
Sau sau kothe palte hain

Mili hai degree'yan chacha ji ko
Ladki bhagane mein
Kasam se aaj bhi tau pade hain
Jail khane mein
Mere mausa ji ki
Sona banane ki dukanein thi
Badi bua tawayaf thi
Kabhi apne zamane ki
Kabhi apne zamane ki
Kabhi apne zamane ki

Silsila ye khandaani
Yeh mujhe aage badhana hai
Main aaya hoon main aaya hoon
Main aaya hoon abbey aa na

Main aaya hoon jahan se
Woh bada uncha gharana hai
Yeh aaye hain jahan se
Woh bada uncha gharana hai
Aji aabaad mujhse hi to
Yeh paagalkhana hai
Aji aabaad inse hi to
Yeh paagalkhana hai

Main aaya hoon jahan se
Woh bada uncha gharana hai
Yeh aaye hain jahan se
Woh bada uncha gharana hai

Bhai ne kul mila ke
Chhattees bank hain loote
Jija ke bayein hath se
Itne hi taale toote
Bhateeje brown suger ka
Vyapar kerte hain
Mama haseenaon ka
Karobar kerte hain
Karobar kerte hain
Karobar kerte hain

Mere hoshiyar bhanje
Nakli passport banate hain
Mere naukar talak mandir se
Moortiyan churate hain
Mere baaki ke rishtedar
Blue filmein banate hain
Mere sab yaar bhi uska
Maza poora uthate hain
Maza poora uthate hain
Maza poora uthate hain

Aage farmaiye chhote sarkar

Mujhe bhi log kehte hain
Ke yeh kaatil purana hai
Yeh aaye hain yeh aaye hain
Yeh aaye hain aaiye na
Yeh aaye hain jahan se
Woh bada uncha gharana hai

Main aaya hoon jahan se
Woh bada uncha gharana hai
Aji aabaad mujhse hi to
Yeh paagalkhana hai
Aji aabaad aji aabaad
Aji aabaad mujhse hi to
Yeh paagalkhana hai

Main aaya hoon jahan se
Woh bada uncha gharana hai
Yeh aaye hain jahan se
Woh bada uncha gharana hai