Logon Na Maro Ise Lyrics - Anamika


Logon Na Maro Ise Lyrics from Anamika is Hindi song sung by Asha Bhosle. Logon Na Maro Ise song lyrics are written by Majrooh Sultanpuri, its music is given by R D Burman. Anamika is a 1973 Hindi movie starring Sanjeev Kumar, Jaya Bachchan and Ramesh Behl.

Logon Na Maro Ise Lyrics - Anamika

Logon Na Maro Ise Song Detail


Song: Logon Na Maro Ise
Album: Anamika (1973)
Singer: Asha Bhosle
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Star Cast: Sanjeev Kumar, Jaya Bachchan, Ramesh Behl etc.

Logon Na Maro Ise Lyrics

Logon na maro ise
Yahi to mera dildar hai

Logon na maro ise
Yahi to mera dildar hai
Dil se jo dil takraye
Nahi dushmani yeh pyar hai

Hum zara jo ulajh gaye
Kyun ladayi samajh gaye
Pyari pyari yeh thi hamari
Mohabbat ki dillagi zara

Kaahe ko rootha deewana mera
Tu hi to sapna suhana mera
Yeh lo saiyan main hi haari
Ulta pada nishana mera

Kaahe ko rootha deewana mera
Tu hi to sapna suhana mera
Yeh lo saiyan main hi haari
Ulta pada nishana mera
Kaahe ko rootha deewana mera

Yoon to shuru se hoon main
Tumhi par yeh dil haare huye
Lekin khafa hoke tum To aaj aur bhi pyare huye

Pyaar tha to sataya tumhein
Rang ada ka dikhaya tumhein
Kaisa nadaan bhola bhala
Abhi tak hai mastana mera

Kaahe ko rootha deewana mera haan
Tu hi to sapna suhana mera haan
Yeh lo saiyan main hi haari
Ulta pada nishana mera
Kaahe ko rootha deewana mera

Tere milan se yoon hi
Mehakta rahe mera jahan
Sada saji rahun gale
Kabhi na dhale ab yeh sama

Teri chahat jawani meri
Tera gham zidgaani meri
Tujhko chahun tujhi ko poojun
Yahi bas ho afsana mera

Kaahe yeh rootha deewana mera
Tu hi to sapna suhana mera
Yeh lo saiyan main hi haari
Ulta pada nishana mera

Kaahe ko rootha deewana mera aa
Tu hi to sapna suhana mera aa
Yeh lo saiyan main hi haari
Ulta pada nishana mera

Kaahe ko rootha deewana mera
Tu hi to sapna suhana mera
Kaahe ko rootha deewana mera aa
Tu hi to sapna suhana mera aa