Kyon Khoye Khoye Chand Ki Lyrics - Khoya Khoya Chand


Kyon Khoye Khoye Chand Ki Lyrics from Khoya Khoya Chand is Hindi song sung by Ajay Jhingran, Swanand Kirkire and music is given by Shantanu Moitra. Kyon Khoye Khoye Chand Ki song lyrics are written by Swanand Kirkire. Khoya Khoya Chand is a 2007 Hindi movie starring Shiney Ahuja, Soha Ali Khan and Rajat Kapoor.

Kyon Khoye Khoye Chand Ki Lyrics - Khoya Khoya Chand

Kyon Khoye Khoye Chand Ki Song Detail


Song: Kyon Khoye Khoye Chand Ki
Album: Khoya Khoya Chand (2007)
Singer: Ajay Jhingran, Swanand Kirkire
Musician: Shantanu Moitra
Lyricist: Swanand Kirkire
Star Cast: Shiney Ahuja, Soha Ali Khan, Rajat Kapoor etc.

Kyon Khoye Khoye Chand Ki Lyrics

Aaj shab jo chaand ne hai
Roothne ki thaan li
Gardishon mein hai sitare
Baat humne maan li

Andheri syaah zindagi ko
Soojhti nahi gali
Ke aaj hath thaam lo
Ek hath ki kami khali

Kyun khoye khoye chand ki firaaq mein
Talaash mein udaas hai dil

Kyun apne aap se khafa khafa
Zara zara sa naraaz hai dil

Yeh manzilein bhi khud hi tay kare
Yeh faasle bhi khud hi tay kare
Kyun to raaston pe phir seham seham
Sambhal sambhal ke chalta hai yeh dil
Kyun khoye khoye chand ki firaaq mein
Talaash mein udaas hai dil

Zindagi sawalon ke
Jawab dhoodne chali
Jawab mein sawalon ki
Ek lambi si ladi mili

Sawal hi sawal hain
Soojhti nahi gali
Ke aaj hath thaam lo
Ek hath ki kami kali

Jee mein aata hai
Murda sitare noch loon
Idhar bhi noch loon
Udhar bhi noch loon

Ek do ka zikar kya
Main saare noch loon
Main saare noch loon

Idhar bhi noch loon
Udhar bhi noch loon
Sitare noch loon
Main saare noch loon

Idhar bhi noch loon
Udhar bhi noch loon
Sitare noch loon
Main saare noch loon

Kyun tu aaj itna vehshi hai
Mijaaz mein majaaj hai aye gham-e-dil
Kyun apne aap se khafa khafa
Zara zara sa naraaz hai dil

Yeh manzilein bhi khud hi tay kare
Yeh faasle bhi khud hi tay kare
Kyun to raaston pe phir seham seham
Sambhal sambhal ke chalta hai yeh dil
Kyun khoye khoye chand ki firaaq mein
Talaash mein udaas hai dil

Dil ko samajhana
Keh do kya aasaan hai
Dil ko fitrat se
Sun lo na beimaan hai

Yeh khush nahi hai jo mila
Bas mangta hi hai chala
Jaanta hai har lagi ka
Dard hi hai bas ik sila

Jab kabhi yeh dil laga
Dard hi humein mila
Dil ki har lagi ka sun lo
Dard hi hai ik sila

Jab kabhi yeh dil laga
Dard hi humein mila
Dil ki har lagi ka sun lo
Dard hi hai ik sila

Kyun khoye khoye chand ki firaaq mein
Talaash mein udaas hai dil
Kyun apne aap se khafa khafa
Zara zara sa naraaz hai dil

Yeh manzilein bhi khud hi tay kare
Yeh faasle bhi khud hi tay kare
Kyun to raaston pe phir seham seham
Sambhal sambhal ke chalta hai yeh dil
Kyun khoye khoye chand ki firaaq mein
Talaash mein udaas hai dil

Kyun apne aap se khafa khafa
Zara zara sa naraaz hai dil

Yeh manzilein bhi khud hi tay kare
Yeh faasle bhi khud hi tay kare
Kyun to raaston pe phir seham seham
Sambhal sambhal ke chalta hai yeh dil
Kyun khoye khoye chand ki firaaq mein
Talaash mein udaas hai dil