Kya Hua Ek Baat Par Lyrics - Teri Kasam


Kya Hua Ek Baat Par Lyrics from Teri Kasam is Hindi song sung by Amit Kumar. Kya Hua Ek Baat Par song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by R D Burman. Teri Kasam is a 1982 Hindi movie starring Kumar Gaurav, Poonam Dhillon and Ranjeet.

Kya Hua Ek Baat Par Lyrics - Teri Kasam

Kya Hua Ek Baat Par Song Detail


Song: Kya Hua Ek Baat Par
Album: Teri Kasam (1982)
Singer: Amit Kumar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Kumar Gaurav, Poonam Dhillon, Ranjeet etc.

Kya Hua Ek Baat Par Lyrics

Kya hua ek baat par
Barson ka yarana gaya
Is bahane doston ka
Pyaar pehchana gaya
Kya hua kya hua
Kya hua ek baat par
Barson ka yarana gaya

Kya sunayein hum kisi ko
Pyaar ki yeh dastaan
Kya sunayein hum kisi ko

Pyaar ki yeh dastaan
Pyaar ki yeh dastaan

Jaan jaane ko hai baaki
Dil to deewana gaya
Kya hua ek baat par
Barson ka yarana gaya

Unka unke gham ka aye dil
Ab karein afsos kya
Unka unke gham ka aye dil
Ab karein afsos kya
Ab karein afsos kya

Jisko aana tha woh aaya Jisko tha jaana gaya
Kya hua ek baat par
Barson ka yarana gaya

Unse milne ki ijazat
Ek bas humko nahi
Unse milne ki ijazat
Ek bas humko nahi
Ek bas humko nahi

Unse milne unke ghar
Har apna begana gaya
Ho kya hua ek baat par
Barson ka yarana gaya

Is bahane doston ka
Pyaar pehchana gaya
Kya hua kya hua
Kya hua ek baat par
Barson ka yarana gaya