Kuchh Kehta Hai Ye Sawan Lyrics - Mera Gaon Mera Desh


Kuchh Kehta Hai Ye Sawan Lyrics from Mera Gaon Mera Desh is Hindi song in the voices of Lata Mangeshkar, Mohammad Rafi. Kuchh Kehta Hai Ye Sawan song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Mera Gaon Mera Desh is a 1971 Hindi movie starring Dharmendra, Vinod Khanna and Asha Parekh.

Kuchh Kehta Hai Ye Sawan Lyrics - Mera Gaon Mera Desh

Kuchh Kehta Hai Ye Sawan Song Detail


Song: Kuchh Kehta Hai Ye Sawan
Album: Mera Gaon Mera Desh (1971)
Singer: Lata Mangeshkar, Mohammad Rafi
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Dharmendra, Vinod Khanna, Asha Parekh etc.

Kuchh Kehta Hai Ye Sawan Lyrics

Kuchh kehta hai ye sawan
Kya kehta hai?
Kuchh kehta hai ye sawan
Kya kehta hai?

Shaam savere dil mein mere
Tu rehta hai
Aa aa aa tu rehta hai

Ho ho ho kuchh kehti hai ye badli
Kya kehti hai?
Ho kuchh kehti hai ye badli

Arre kya kehti hai?

Shaam savere dil mein mere
Tu rehti hai
Oye oye oye tu rehti hai

Aa aa aa rimjhim gaata hai paani
Kyun gaata hai?
Preet mein saajan geet ye
Jeevan ban jaata hai
Ban jaata hai

Phir aayi purvai
Kyun aayi hai?
Phir aayi purvai Kyun aayi hai?
Sajni tera prem sandesa
Ye laayi hai

Bheegi bheegi raaton mein
Kya hota hai?
Ho bheegi bheegi raaton mein
Kya hota hai?

Neend na aaye humko haaye
Jag sota hai hmm
Jag sota hai

Khilti hain tab kaliyan
Kab khilti hain?
Khilti hain tab kaliyan
Kab khilti hain?

Teri akhiyan meri akhiyan
Jab milti hain

Chham chham bajti hai payal
Kab bajti hai?
Chham chham bajti hai payal
Kab bajti hai?

Prem ke path par roop ko thokar
Jab lagti hai haaye
Jab lagti hai

Dhak dhak karta hai ye dil
Kyun karta hai?
Dhak dhak karta hai ye dil
Kyun karta hai?

Log na sun lein pyar ki baatein
Man darta hai

Arre jaate hain pardesi
Kyun jaate hain?
Door akele des ke mele
Yaad aate hain
Hoye oye yaad aate hain

Aa aa aa jhar jhar behta hai jharna
Kyun behta hai?
Aayi jawani rut mastani
Yeh kehta hai haaye
Yeh kehta hai

Kuchh kehta hai ye sawan
Kya kehta hai?
Aa aa aa kuchh kehta hai
Aa aa aa kuchh kehta hai
Aa aa aa kuchh kehta hai
Aa aa aa kuchh kehta hai
Aa aa aa kuchh kehta hai
Aa aa aa kuchh kehta hai
Aa aa aa kuchh kehta hai
Aa aa aa kuchh kehta hai
Aa aa aa kuchh kehta hai