Koi Nahin Mera Is Duniya Mein Lyrics - Daag
Koi Nahin Mera Is Duniya Mein Lyrics from Daag is Hindi song sung by Talat Mahmood and music is given by Shankar Jaikishan. Koi Nahin Mera Is Duniya Mein song lyrics are written by Hasrat Jaipuri. Daag is a 1952 Hindi movie starring Dilip Kumar, Nimmi and Usha Kiran.

Koi Nahin Mera Is Duniya Mein Song Detail
Song: Koi Nahin Mera Is Duniya Mein
Album: Daag (1952)
Singer: Talat Mahmood
Musician: Shankar Jaikishan
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Star Cast: Dilip Kumar, Nimmi, Usha Kiran etc.
Koi Nahin Mera Is Duniya Mein Lyrics
Chaand ek bewa ki
Choodi ki tarah toota hua
Har sitara besahara
Soch mein dooba hua
Gham ke baadal ik janaze
Ki tarah thehre huye
Siskiyon ke saaz par
Kehta hai dil rota hua
Koi nahin mera is duniya mein
Aashiyan barbaad hai
Zindagi nashaad hai
Koi nahin mera is duniya mein
Aashiyan barbaad hai
Ja hawa tu rasta le apna
Kismat hai meri jee ke tadpna
Ja hawa tu rasta le apna
Kismat hai meri jee ke tadpna
Aayi hai mere gham pe jawani
Roti huyi ek yaad hai
Koi nahin mera is duniya mein
Aashiyan barbaad hai
Sookh chuke hain aankhon ke jharne
Loot liya humein daage jigar ne
Sookh chuke hain aankhon ke jharne
Loot liya humein daage jigar ne
Phool nahin yeh zakhm khile hain
Phool nahin yeh zakhm khile hain
Aasmaan saiyyad hai
Aasmaan saiyyad hai
Koi nahin mera is duniya mein
Aashiyan barbaad hai
Koi nahin mera is duniya mein
Aashiyan barbaad hai
Mausam dukhon ka sar par hai chhaya
Mujhse juda hai khud mera saya
Mausam dukhon ka sar par hai chhaya
Mujhse juda hai khud mera saya
Hum hai akele gham ke hain mele
Dard ki fariyad hai
Koi nahin mera is duniya mein
Aashiyan barbaad hai