Kis Liye Maine Pyar Kiya Lyrics - The Train


Kis Liye Maine Pyar Kiya Lyrics from The Train is Hindi song sung by Lata Mangeshkar. Kis Liye Maine Pyar Kiya song lyrics are written by Anand Bakshi while its music is given by R D Burman. The Train is a 1970 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Nanda and Helen.

Kis Liye Maine Pyar Kiya Lyrics - The Train

Kis Liye Maine Pyar Kiya Song Detail


Song: Kis Liye Maine Pyar Kiya
Album: The Train (1970)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Nanda, Helen etc.

Kis Liye Maine Pyar Kiya Lyrics

Kis liye maine pyar kiya
Dil ko yoon hi bekarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intazar kiya ho

Kis liye maine pyar kiya
Dil ko yoon hi bekarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intazar kiya ho
Kis liye maine pyar kiya

Aankhon mein maine kajal dala

Maathe pe bindiya lagayi
Aise mein tu aa jaaye to
Kya ho Ram duhayi

Chup ke man mein armanon ne
Li kaisi angdayi
Koyi dekhe to kya samjhe
Ho jaaye ruswayi

Maine kyun singar kiya
Dil ko yoon hi bekarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intazar kiya ho
Kis liye maine pyar kiya

Aaj woh din hai jiske liye main
Tadpi banke Radha
Aaj mere man ki bachaini
Badh gayi aur zyada

Pyar mein dhokha na kha jaaye
Yeh man seedha saada
Aisa na ho jhootha nikle
Aaj milan ka vaada

Maine kyon aitbaar kiya
Dil ko yoon hi bekarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intazar kiya ho

Kis liye maine pyar kiya
Dil ko yoon hi bekarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intazar kiya ho
Kis liye maine pyar kiya