Kandhon Se Milte Hain Kandhe Lyrics - Lakshya




Kandhon Se Milte Hain Kandhe Lyrics from Lakshya: This is a very well sung song by Shankar Mahadevan, Sonu Nigam, Hariharan, Vijay Prakash, Kunal Ganjawala and Roop Kumar Rathod with nicely composed music by Shankar Ehsaan Loy. Lyrics of Kandhon Se Milte Hain Kandhe are beautifully penned by Javed Akhtar. Lakshya is a 2004 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Hrithik Roshan and Preity Zinta.

Kandhon Se Milte Hain Kandhe Lyrics

Kandhon se milte hain kandhe
Kadmon se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain x (2)

Ab to humein aage badhte hai rehna
Ab to humein sathi hai bas itna hi kehna x (2)

Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlana
Ab jo bhi ho badal banke parbat par hai chana

Kandhon se milte hain kandhe
Kadmon se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain x (2)

Nikle hain maidan mein
Hum jaan hatheli par lekar
Ab dekho dum lenge
Hum jaake apni manzil par

Khatron se hass ke khelna
Itni to hum mein himmat hai
Modein kalaayi maut ki
Itni to hum mein taakat hai
Hum sarhado ke vaste
Lohe ki ik deewar hain
Hum dushmano ke vaste
Hoshiyar hain, tayyar hain

Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlana
Ab jo bhi ho badal banke parbat par hai chana
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmon se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

Josh dil mein jagaate chalo
Jeet ke geet gaate chalo x (2)

Jeet ki jo tasvir banaane hum nikle hain
Apne lahu se humko usme rang bharna hai
Sathi maine apne dil mein ab yeh thaan liya hai
Ya to ab karna hai, ya to ab marna hai

Chaahe anghare barsein ke bijli gire
Tu akela nahi hoga yaara mere
Koyi mushkil ho ya ho koyi morcha
Sath har mod par honge sathi tere

Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlana
Ab jo bhi ho badal banke parbat par hai chana
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmon se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

Ek chehra aksar mujhe yaad aata hai
Iss dil ko chupke-chupke woh tadhpata hai
Jab ghar se koyi bhi khat aaya hai
Kaghaz ko maine bheega bheega paya hai
Ho palkon pe yaado ke kuch deep jaise jalte hain
Kuch sapne aise hain jo sath sath chalte hain
Koyi sapna na tute koyi vaada na tute
Tum chaaho jise dil se woh tumse na ruthe

Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlana
Ab jo bhi ho badal banke parbat par hai chana
Kandhon se milte hain kandhe
Kadmon se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain

Chalta hai jo yeh karwan
Gunji si hain yeh vadiyaan
Hain yeh zameen, gunji gunji
Yeh aasman, gunja gunja
Hai yeh hava, gunji gunji
Hai yeh sama, gunja gunja
Har raste ne, har vaadi ne
Har parbat ne sada di
Hum jeetenge, hum jeetenge
Hum jeetenge har bazi

Kandhon se milte hain kandhe
Kadmon se kadam milte hain
Hum chalte hain jab aise to
Dil dushman ke hilte hain x (4)




Kandhon Se Milte Hain Kandhe Song Detail


Song: Kandhon Se Milte Hain Kandhe
Album: Lakshya (2004)
Singer: Shankar Mahadevan, Sonu Nigam, Hariharan, Vijay Prakash, Kunal Ganjawala, Roop Kumar Rathod
Musician: Shankar Ehsaan Loy
Lyricist: Javed Akhtar
Star Cast: Amitabh Bachchan, Hrithik Roshan, Preity Zinta etc.