Jamuna Kinare Baje Shyam Ki Bansuriya Lyrics - Shyam Tere Kitne Naam


Jamuna Kinare Baje Shyam Ki Bansuriya Lyrics from the movie Shyam Tere Kitne Naam is sung by Jaspal Singh, its music is composed by Ravindra Jain and lyrics are written by Ravindra Jain.

Jamuna Kinare Baje Shyam Ki Bansuriya Lyrics - Shyam Tere Kitne Naam

Jamuna Kinare Baje Shyam Ki Bansuriya Song Detail


Song: Jamuna Kinare Baje Shyam Ki Bansuriya
Album: Shyam Tere Kitne Naam (1977)
Singer: Jaspal Singh, Aarti Mukherji
Musician: Ravindra Jain
Lyricist: Ravindra Jain

Jamuna Kinare Baje Shyam Ki Bansuriya Lyrics

Jamuna kinare baje Shyam ki bansuriya
Shyam ki bansuriya baje, Shyam ki bansuriya
Shyam to hai Radha ka banwara
Shyam to hai Radha ka banwara
O Kanha ke rang rangi Radha banwariya
Radha rang ranga sanwra
Sanwra sanwra, sanwra, sanwra
Jamuna kinare baje Shyam ki bansuriya
Shyam ki bansuriya baje, Shyam ki bansuriya

Gokul mein, Gokul mein

Shor macha, shor macha
Kahan gayin gwaalan ki choriyan
Kahan gayin gwaalan ki choriyan
Ghar angna, ghar angna
Bisra ke, bisra ke
Mohan sang raas rache goriyan
Mohan sang raas rache goriyan
Ho sab mein samaa ke
Sabse ankhiyan chura ke
Radha ke sang chala sanwra
Sanwra sanwra, sanwra, sanwra
Jamuna kinare baje Shyam ki bansuriya Shyam ki bansuriya baje, Shyam ki bansuriya

Radha ki, Radha ki
Payal se, payal se
Bandhi jaise murali ki taan re
Bandhi jaise murali ki taan re
Kanha ki, Kanha ki
Murli mein, murli mein
Base jaise Radha ke pran re
Base jaise Radha ke pran re
Ho Radha ke jaisi koyi dooji na premika
Kanha sa premi nahi doosra
Sanwra sanwra, sanwra, sanwra
Jamuna kinare baje Shyam ki bansuriya
Shyam ki bansuriya baje, Shyam ki bansuriya