Jame Raho Lyrics - Taare Zameen Par (2007)


Jame Raho Lyrics from Taare Zameen Par: This is a very well sung song by Vishal Dadlani with nicely composed music by Shankar Mahadevan, Ehsaan and Loy. Lyrics of Jame Raho are beautifully penned by Javed Akhtar. Taare Zameen Par is a 2007 Hindi movie starring Aamir Khan, Tanay Chheda and Darsheel Safary.

Jame Raho Lyrics - Taare Zameen Par (2007)

Jame Raho Song Detail


Song: Jame Raho
Album: Taare Zameen Par (2007)
Singer: Vishal Dadlani
Musician: Shankar Mahadevan, Ehsaan, Loy
Lyricist: Javed Akhtar
Star Cast: Aamir Khan, Tanay Chheda, Darsheel Safary etc.

Jame Raho Lyrics

Kas ke joota, kas ke belt
Khons ke andar apni shirt
Manzil ko chali sawaari
Kandhon pe zimmedari

Hath mein file, man mein dum
Meelon meel chalenge hum
Har muskil se takrayenge
Tas se mas na honge hum

Duniya ka naara - jame raho
Manzil ka ishaara - jame raho

Duniya ka naara - jame raho
Manzil ka ishaara - jame raho

Yeh sote bhee hain attention
Aage rehne ki hai tension
Mehnat inko pyaari hai
Ek dum aagyankari hai

Yeh omelette par hi jeete hain
Yeh tonic saare peete hain
Waqt pe sote, waqt pe khate
Taan ke seena badhte jate

Duniya ka naara - jame raho
Manzil ka ishaara - jame raho Duniya ka naara - jame raho
Manzil ka ishaara - jame raho

Yahan alag andaz hai
Jaise chhidta koi saaz hai
Har kaam ko tala karte hain
Yeh sapne pala karte hain
Yeh hardam socha karte hain
Yeh khud se poocha karte hain

Kyun duniya ka naara - jame raho
Kyun manzil ka ishaara - jame raho
Kyun duniya ka naara - jame raho
Kyun manzil ka ishaara - jame raho

Yeh waqt ke kabhi gulam nahin
Inhein kisi baat ka dhyaan nahin
Titli se milne jaate hain
Yeh pedon se batiyate hain

Yeh hawa batora karte hain
Barish ki boondein padhte hai
Aur aasmaan ke canvas pe
Yeh kalakariyan karte hain

Kyun duniya ka naara - jame raho
Kyun manzil ka ishaara - jame raho
Kyun duniya ka naara - jame raho
Kyun manzil ka ishaara - jame raho

More Lyrics From Taare Zameen Par