Jahan Teri Yeh Nazar Hai Lyrics - Kaalia


Jahan Teri Yeh Nazar Hai Lyrics from Kaalia is sung by Kishore Kumar. Jahan Teri Yeh Nazar Hai song lyrics are written by Majrooh Sultanpuri while its music is given by R D Burman. Kaalia is a 1981 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Parveen Babi and Amjad Khan.

Jahan Teri Yeh Nazar Hai Lyrics - Kaalia

Jahan Teri Yeh Nazar Hai Song Detail


Song: Jahan Teri Yeh Nazar Hai
Album: Kaalia (1981)
Singer: Kishore Kumar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Star Cast: Amitabh Bachchan, Parveen Babi, Amjad Khan etc.

Jahan Teri Yeh Nazar Hai Lyrics

Jahan teri yeh nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai
Jahan teri yeh nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai

Bach na saka koyi aaye kitne
Lambe hain mere hath itne
Dekh idhar yaar dhyan kidhar hai
Arre dekh idhar yaar dhyan kidhar hai
Jahan teri yeh nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai

Kyon nahi jaani tu yeh samajhta
Kaam nahi yeh hai tere bas ka
Ku ku du ku ku

Kyon nahi jaani tu yeh samajhta
Kaam nahi yeh hai tere bas ka
Hosh mein aaja dhyan kidhar hai
Arre hosh mein aaja dhyan kidhar hai
Jahan teri yeh nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai

Meri taraf jo utha hai tann ke
Kat ke wohi hath gira badan se
Arre meri taraf jo utha hai tann ke Kat ke wohi hath gira badan se
Samne aaye kis ka jigar hai
Haan samne aaye kis ka jigar hai
Jahan teri yeh nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai

Chaal yeh banda aisi bhi chal jaaye
Band ho mutthi arre cheez nikal jaaye
Gili gili gili chhu chhu chhu

Arre chaal yeh banda aisi bhi chal jaaye
Band ho mutthi arre cheez nikal jaaye
Yeh bhi karishma dekh idhar hai
Haan yeh bhi karishma dekh idhar hai

Jahan teri yeh nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai
Jahan teri yeh nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai

Bach na saka koyi aaye kitne
Lambe hain mere hath itne
Dekh idhar yaar dhyan kidhar hai
Arre dekh idhar yaar dhyan kidhar hai