Jab Jab Apna Mel Hua Lyrics - Mahua


Jab Jab Apna Mel Hua Lyrics from Mahua (1969) is penned by Qamar Jalalabadi, it's composed by Sonik Omi and sung by Mohammad Rafi and Sulakshana Pandit. Mahua is a 1969 Hindi movie starring Shiv Kumar, Anjana and Murad.

Jab Jab Apna Mel Hua Lyrics - Mahua

Jab Jab Apna Mel Hua Song Detail


Song: Jab Jab Apna Mel Hua
Album: Mahua (1969)
Singer: Mohammad Rafi, Sulakshana Pandit
Musician: Sonik Omi
Lyricist: Qamar Jalalabadi
Star Cast: Shiv Kumar, Anjana, Murad etc.

Jab Jab Apna Mel Hua Lyrics

Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara
Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara
Janam janam tak toot sake na kabhi sath hamara
Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara

Tere gham ko gale laga ke ho
Apni khushiyan main tujhpe luta doon
Gar thoda sa tu muskura de ho
To veerane mein kaliyan khila doon
Ho sharmata hai kaliyon ko bhi
Yeh bairi roop tumhara

Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara

Chhed ke apne pyar ka naghma ho
Tere dil mein taraane jaga doon
Teri aankh ke aansu le ke ho
Naye chaand-sitaare bana doon
Ho neele gagan par deep jale hain
Zara dekho nazaara
Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara

Lakh janam ke armanon ka ho
Koi rangin fasana bana doon
Lekar aag tere gaalon ki ho
Gore gore kanwal main khila doon Ho dil kehta hai aaj milega nadiya se kinara
Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara
Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara
Janam janam tak toot sake na kabhi sath hamara
Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara