Ja Ja Re Ja Deewane Ja Lyrics - Grahasti
Ja Ja Re Ja Deewane Ja Lyrics from Grahasti is Hindi song in the voices of Asha Bhosle, Mohammad Rafi. Ja Ja Re Ja Deewane Ja song lyrics are written by Shakeel Badayuni, its music is given by Ravi. Grahasti is a 1963 Hindi movie starring Ashok Kumar, Manoj Kumar and Rajshree.

Ja Ja Re Ja Deewane Ja Song Detail
Song: Ja Ja Re Ja Deewane Ja
Album: Grahasti (1963)
Singer: Asha Bhosle, Mohammad Rafi
Musician: Ravi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Ashok Kumar, Manoj Kumar, Rajshree etc.
Director: Kishore Sahu
Ja Ja Re Ja Deewane Ja Lyrics
Ja ja re ja deewane ja
Ja ja re ja deewane ja
Maine jo chaha tujhko
Apna banaya tujhko
Ispe akadta hai kya
Ja ja ri ja deewani ja
Ja ja ri ja deewani ja
Maine ehsaan kiya
Dil jo kurban kiya
Badh badh ke baatein na bana
Ja ja re ja deewane ja
Ja ja re ja deewane ja
Bura hai mera gussa
Jawani ki kasam
Main shola banke
Tujhko jala doongi balam
Hai bheja mera thanda
Nahi hai mujhe gham
Main paani banke
Tujhko bujha dunga sanam
Itna guroor na kar
Mujhko majboor na kar
Warna chakha dungi maza
Ja ja ri ja deewani ja
Ja ja re ja deewane ja
Main ban ke machhariya
Chhupungi jal mein
Na aaungi bedardi
Main tere bal mein
Laga ke main bhi
Dori mein kaanta dil ka
Phansa hi lunga
Tujhko bas ik pal mein
Na kar takraar mujhse
Dekhe hain lakhon tujhse
Apni tu shekhi na jata
Ja ja ri ja deewani ja
Ja ja re ja deewane ja
Bade hi zehreele
Yeh naina hain mere
Main nagin ban ke
Dass lungi chhed na mujhe
Bade hi zehreele
Yeh naina hain mere
Main nagin ban ke
Dass lungi chhed na mujhe
Banegi jo tu nagin
To main bhi meri jaan
Sapera ban ke kar lunga
Bas mein tujhe
Ho dil ke chor saiyan
Yoon na marod bahiyan
Dil le ke aise na sata
Ja ja ri ja deewani ja
Ja ja ri ja deewani ja
Maine ehsaan kiya
Dil jo kurban kiya
Badh badh ke baatein na ban
Ja ja re ja deewane ja