Is Jeevan Ki Yahi Hai Kahani Lyrics - Alag Alag


Is Jeevan Ki Yahi Hai Kahani Lyrics from Alag Alag: This is a very well sung song by Lata Mangeshkar with nicely composed music by R. D. Burman. Lyrics of Is Jeevan Ki Yahi Hai Kahani are beautifully penned by Anand Bakshi. Alag Alag is a 1985 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Tina Munim and Deven Verma.

Is Jeevan Ki Yahi Hai Kahani Lyrics - Alag Alag

Is Jeevan Ki Yahi Hai Kahani Song Detail


Song: Is Jeevan Ki Yahi Hai Kahani
Album: Alag Alag (1985)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Tina Munim, Deven Verma etc.

Is Jeevan Ki Yahi Hai Kahani Lyrics

Is jeevan ki yahi hai kahani

Is jeevan ki yahi hai kahani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

Phool khile khilkar murjhaaye
Deep jale jalkar bujh jaaye
Is bagiya ki reet yahi hai

Ik rut aaye, ik rut jaaye
Kaise badle reet puraani
Kaise badle reet puraani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

Aane wala pal kehta hai
Jaane wala pal kehta hai
Kaun raha hai, kaun rahega
Koi humesa kab rehta hai
Reh jaati hai yaad nishani
Reh jaati hai yaad nishani Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

Jism ki maut se phir kya darna
Is mitti ka eham kya karna
Duniya mein sab ko na jaane
Kitni baar hai jeena marna
Maut ke baad hai phir zindgaani
Maut ke baad hai phir zindgaani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
O behte dariya ka paani