Humne Suna Hai Lyrics - Mere Yaar Ki Shaadi Hai
Humne Suna Hai Lyrics from Mere Yaar Ki Shaadi Hai is Hindi song in the voices of Alka Yagnik, Udit Narayan, Sudesh Bhonsale, Jaspindar Narula. Humne Suna Hai song lyrics are written by Javed Akhtar, its music is given by Jiit Pritam. Mere Yaar Ki Shaadi Hai is a 2002 Hindi movie starring Uday Chopra, Jimmy Sheirgill and Tulip Joshi.

Humne Suna Hai Song Detail
Song: Humne Suna Hai
Album: Mere Yaar Ki Shaadi Hai (2002)
Singer: Alka Yagnik, Udit Narayan, Sudesh Bhonsale, Jaspindar Narula
Musician: Jiit Pritam
Lyricist: Javed Akhtar
Star Cast: Uday Chopra, Jimmy Sheirgill, Tulip Joshi etc.
Director: Sanjay Gadhvi
Humne Suna Hai Lyrics
Humne suna hai
Tumne jeevan saathi chuna hai
Jisko tumne sun hi liya hai
Cheez woh kya hai
Arre humne suna hai
Tumne jeevan saathi chuna hai
Jisko tumne sun hi liya hai
Cheez woh kya hai
Kahin hoga na aisa ek bhi
Hoshiyar bhi hai woh nek bhi
Kabhi jhooth nahin woh bolta
Kabhi zehar nahin woh gholta
Woh dil ka saaf hai aur bilkul sachcha
Humne suna hai
Tumne jeevan saathi chuna hai
Jisko tumne sun hi liya hai
Cheez woh kya hai
Yeh to bata do hamein samjha do
Hai kis gharaane ka woh
Woh nahin aisa waisa nahin tumhare jaisa
Hai naye zamaane ka woh
Yeh to bata do hamein samjha do
Hai kis gharaane ka woh
Woh nahin aisa waisa nahin tumhare jaisa
Hai naye zamaane ka woh
Kahin pada use kya paya tha
Ya woh khud rota aaya tha
Humse to kaho hum par yakeen kar lo
Jo tumne ishara hai kiya
Maine pehle hi tha keh diya
Ladke ki poori chhaanbeen kar lo
Chup bhi raho
Arre humne suna hai
Tumne jeevan saathi chuna hai
Jisko tumne sun hi liya hai
Cheez woh kya hai
Chup rehta hai, ki bole jata hai
Kya bore karta hai woh
Jaaye kahin woh jo baat kare to
Ik rang bharta hai woh
Chup rehta hai, ki bole jata hai
Kya bore karta hai woh
Haan jaaye kahin woh jo baat kare to
Ik rang bharta hai woh
Indian hai ya angrez hai
Woh seedha hai ya tez hai
Himmatwala hai kya mere jaisa
Nikamma hai ya kaam ka
Pati banega bas kya naam ka
Woh jaisa bhi ho par na ho aisa
Aisa waisa
Humne suna hai
Tumne jeevan saathi chuna hai
Jisko tumne sun hi liya hai
Cheez woh kya hai
Haan tumne suna hai
Tumne bilkul theek suna hai
Maine jeevan saathi chuna hai
Kyun kahoon kya hai
Cheez woh kya hai
Kyun kahoon kya hai
Cheez woh kya hai
Kyun kahoon kya hai
Cheez woh kya hai