Hum Bhi Agar Bachche Hote Lyrics - Door Ki Awaz




Hum Bhi Agar Bachche Hote Lyrics of Door Ki Awaz (1964): This is a lovely song from Door Ki Awaz starring Joy Mukherjee, Saira Banu, Pran and Durga Khote. It is sung by Mohammad Rafi, Asha Bhosle and Manna Dey and composed by Ravi. Door Ki Awaz is a 1964 Hindi movie starring Joy Mukherjee, Saira Banu and Pran.

Hum Bhi Agar Bachche Hote Lyrics

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamara hota Gabloo Babloo
Khaane ko milte laddu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamara hota Gabloo Babloo
Khaane ko milte laddu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Koi laata gudiya, motar, rail
To koi laata phirki, lattu
Koi chaabi ka tattu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Kitni pyaari hoti hai yeh bholi si umar
Na naukri ki chinta na roti ki fikar
Kitni pyaari hoti hai yeh bholi si umar
Na naukri ki chinta na roti ki fikar
Nanhe-munne hote hum to dete sau hukum
Peechhe-peechhe daddy-mummy banke naukar
Chocolate, biscuit, toffee
Khate aur peete dudfhu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamara hota Gabloo Babloo
Khaane ko milte laddu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Kaise-kaise nakhre karte
Ghar walon se hum
Pal mein hanste pal mein rote
Karte naak mein dam
Akkad-bakkad lukka-chhupi
Kabhi chhua-chhoo
Karte din bhar halla-gulla
Danga aur udham
Aur kabhi zid par ad jaate
Jaise adiyal tattu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamara hota Gabloo Babloo
Khaane ko milte laddu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Ab to hai yeh haal ke jab se beeta bachpan
Maa se jhagda, baap se takkar, biwi se anban
Ab to hai yeh haal ke jab se beeta bachpan
Maa se jhagda, baap se takkar, biwi se anban
Kolhu ke hum bail bane hain, dhobi ke gadhe
Duniya bhar ke dande sar pe khaayein danadan
Bachpan apna hota to na karte dhenchu-dhenchu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamara hota Gabloo Babloo
Khaane ko milte laddu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you




Hum Bhi Agar Bachche Hote Song Detail


Song: Hum Bhi Agar Bachche Hote
Album: Door Ki Awaz (1964)
Singer: Mohammad Rafi, Asha Bhosle, Manna Dey
Musician: Ravi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Joy Mukherjee, Saira Banu, Pran etc.